zarb-ul-amsal
abbū ham ko DaañT rahe the
appī ko ronā aayā
tum ne jāmun mañgvā.e the
laDDū kā donā aayā
maaro ghuTnā phūTe aañkh
chhuTkī itnī baḌ mat haañk
urfī ne chhakkā maarā thā
gintī karnā bhuul ga.e
sher ko dauḌāyā hāthī ne
aur mahāvat phuul ga.e
nekī kar dariyā meñ Daal
bachchoñ kī zarb-ul-amsāl
chamkīle qālīn ke nīche
kitnā kaaTh kabāḌ chhupā hai
murġhā baiThā hai anDe meñ
guThlī meñ ik jhaaḌ chhupā hai
til kī oT pahāḌ chhupā hai
bachchoñ ne bhī sun rakkhā hai
abbu hum ko DanT rahe the
appi ko rona aaya
tum ne jamun mangwae the
laDDu ka dona aaya
maro ghuTna phuTe aankh
chhuTki itni baD mat hank
urfi ne chhakka mara tha
ginti karna bhul gae
sher ko dauDaya hathi ne
aur mahawat phul gae
neki kar dariya mein Dal
bachchon ki zarb-ul-amsal
chamkile qalin ke niche
kitna kaTh kabaD chhupa hai
murgha baiTha hai anDe mein
guThli mein ek jhaD chhupa hai
til ki oT pahaD chhupa hai
bachchon ne bhi sun rakkha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.