zard-chameli
ye kis ke qadmoñ kī chaap aa.ii..... kaun aayā
ye bām-o-dar ab jo ḳhasta-jāñ haiñ
ye chauñk uTThe
aur yās-o-hasrat se shakl ham sab kī tak rahe haiñ
darāḌ apne jigar kī le kar karb kī shiddat
ko sah kar niile se paḌ ga.e .....haiñ
kisī ke hāthoñ ke lams ko taras rahe haiñ
namī ko āñkhoñ meñ DabDabā.e sehn ke raste ubuur kar ke
isī sutūñ ke shikasta saa.e meñ
sar jhukā.e guzishta yādoñ meñ kho ga.ī huuñ
vahī sutūñ jo thake thake se
malūl haiñ aur shigāf-e-tanhā.ī se surḳh īñTeñ
zaḳhm kī mānind jhāñkte haiñ aur ris rahe haiñ
jise chamelī kī zard bāheñ lagā ke siine se
kah rahī haiñ dukhoñ ko tere maiñ jāntī huuñ
tujhī meñ to jazb ho chukī huuñ
vo palkeñ ḳhvāboñ se uljhī uljhī vo surḳh joḌe meñ sahmī sahmī
basī hinā meñ laraztī bāheñ tirī hī gardan meñ thiiñ hamā.il
tumhīñ ne jis ko vidā.a kiyā thā vo duur jā kar ik aisī bastī meñ bas ga.ī hai
jahāñ koī ham-zabāñ nahīñ hai
muñDer par kī nahīf beleñ
chāroñ jānib ko dekhtī haiñ.... vo kaise boleñ ki un ke lab pe
sukūt-e-paiham kī mohreñ sī lagī huī haiñ
magar duā ik fazā meñ gūñjī
ki tū jahāñ hai vahīñ khile tū
balā se dāman hai merā ḳhālī
nahīñ mayassar jo buuñd ik bhii!
ye kis ke qadmon ki chap aai kaun aaya
ye baam-o-dar ab jo KHasta-jaan hain
ye chaunk uTThe
aur yas-o-hasrat se shakl hum sab ki tak rahe hain
daraD apne jigar ki le kar karb ki shiddat
ko sah kar nile se paD gae hain
kisi ke hathon ke lams ko taras rahe hain
nami ko aankhon mein DabDabae sehn ke raste ubur kar ke
isi sutun ke shikasta sae mein
sar jhukae guzishta yaadon mein kho gai hun
wahi sutun jo thake thake se
malul hain aur shigaf-e-tanhai se surKH inTen
zaKHm ki manind jhankte hain aur ris rahe hain
jise chameli ki zard bahen laga ke sine se
kah rahi hain dukhon ko tere main jaanti hun
tujhi mein to jazb ho chuki hun
wo palken KHwabon se uljhi uljhi wo surKH joDe mein sahmi sahmi
basi hina mein larazti bahen teri hi gardan mein thin hamail
tumhin ne jis ko widaa kiya tha wo dur ja kar ek aisi basti mein bas gai hai
jahan koi ham-zaban nahin hai
munDer par ki nahif belen
chaaron jaanib ko dekhti hain wo kaise bolen ki un ke lab pe
sukut-e-paiham ki mohren si lagi hui hain
magar dua ek faza mein gunji
ki tu jahan hai wahin khile tu
bala se daman hai mera KHali
nahin mayassar jo bund ek bhi!
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.