dekho us kā jhiil sā mukhḌā jaise ḳhvāb ḳhayāl
kaisā hai āvāz kā jaadū jaise megh malhār
zulfeñ haiñ ki haule se chhū le koī purvā.ī
us kā hañsnā aise jaise paa.el kī jhankār
rangat aisī duur pahāḌoñ par Dhaltī sī shaam
dekho us kī āñkheñ dekho jaise diip jaleñ
dekho us ke haath kī rekhāoñ kī sundartā
lekin dekho
us par jo kuchh darj huā thā
aañkh ke jalte paanī se sab raakh huā hai
dekho us ke haath kī rekhā
Duub ga.ī hai
dekho dīpak aañkh kā sapnā ḳhaak huā hai
dekho us ka jhil sa mukhDa jaise KHwab KHayal
kaisa hai aawaz ka jadu jaise megh malhaar
zulfen hain ki haule se chhu le koi purwai
us ka hansna aise jaise pael ki jhankar
rangat aisi dur pahaDon par Dhalti si sham
dekho us ki aankhen dekho jaise dip jalen
dekho us ke hath ki rekhaon ki sundarta
lekin dekho
us par jo kuchh darj hua tha
aankh ke jalte pani se sab rakh hua hai
dekho us ke hath ki rekha
Dub gai hai
dekho dipak aankh ka sapna KHak hua hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.