zarf
nashsha-e-bada kā ḳhamyāza tan-o-jāñ kā ḳhumār
dard añg añg kā āñkhoñ kī jalan dil kā azaab
ai ki tū bāda-e-sar-josh kā mutamannī hai
tū ne sochā hai kabhī apnī tamannā kā ma.aal
maiñ ki is karb-e-qayāmat se huuñ āgāh mujhe
peshkash jaam kī karte hue ḳhauf aatā hai
tere a.asāb pe ye bār-e-mabādā ho garāñ is darja
farsh-e-hastī pe bikhar jaa.e to TukḌe ho kar
jaam hāzir hai ki maiñ aur mirā mashrab-e-ḳhās
buḳhl se ek bhī pahlū se nahīñ hai mansūb
haañ magar jaam uThānā hai to tū soch zarūr
zarf-e-mai-ḳhvār se qaa.em hai vaqār-e-mai-ḳhvār
nashsha-e-bada ka KHamyaza tan-o-jaan ka KHumar
dard ang ang ka aankhon ki jalan dil ka azab
ai ki tu baada-e-sar-josh ka mutamanni hai
tu ne socha hai kabhi apni tamanna ka maal
main ki is karb-e-qayamat se hun aagah mujhe
peshkash jam ki karte hue KHauf aata hai
tere aasab pe ye bar-e-mabaada ho garan is darja
farsh-e-hasti pe bikhar jae to TukDe ho kar
jam hazir hai ki main aur mera mashrab-e-KHas
buKHl se ek bhi pahlu se nahin hai mansub
han magar jam uThana hai to tu soch zarur
zarf-e-mai-KHwar se qaem hai waqar-e-mai-KHwar
- Book : auraq salnama magazines (Pg. e-263 p-251)
- Author : Wazir Agha,Arif Abdul Mateen
- Publication : Daftar Mahnama Auraq Lahore (1967 )
- Edition : 1967
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.