zarurat
hamāre beach kā rishta
zarūrat ke sivā kuchh bhī nahīñ shāyad
zarūrat baat karne kī
zarūrat baat sunñe kī
zarūrat saañs lene kī
zarūrat fursatoñ ke vaqt ko āsān karne kī
zarūrat ko mohabbat naam dene se
hamāre beach phailī ye masāfat kam nahīñ hotī
ye apnā-pan faqat begānagī par dhuul jaisā hai
maiñ ghanToñ baat kartā huuñ
tumhārī fursatoñ ke vaqt ko āsān kartā huuñ
mirā is par ye da.avā hai mujhe tum se mohabbat hai
tumhārā bhī yahī isrār mujh se pyaar kartī ho
so ham āsāniyoñ se jhuuT kī aadat nibhāne meñ
mahārat siikh lete haiñ
zarūrat ko mohabbat maan lete haiñ
magar sach hai
zarūrat kī qasam sach hai
hamāre beach kā rishta
shurūa din se zarūrat hai
hamare beach ka rishta
zarurat ke siwa kuchh bhi nahin shayad
zarurat baat karne ki
zarurat baat sunne ki
zarurat sans lene ki
zarurat fursaton ke waqt ko aasan karne ki
zarurat ko mohabbat nam dene se
hamare beach phaili ye masafat kam nahin hoti
ye apna-pan faqat beganagi par dhul jaisa hai
main ghanTon baat karta hun
tumhaari fursaton ke waqt ko aasan karta hun
mera is par ye dawa hai mujhe tum se mohabbat hai
tumhaara bhi yahi israr mujh se pyar karti ho
so hum aasaniyon se jhuT ki aadat nibhane mein
mahaarat sikh lete hain
zarurat ko mohabbat man lete hain
magar sach hai
zarurat ki qasam sach hai
hamare beach ka rishta
shurua din se zarurat hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.