zauq-e-shairana
maiñ talāsh kar rahī thī ġham-e-dil kā kuchh bahāna
mirī raah meñ ye nāhaq kahāñ aa gayā zamāna
mire haal par karam kar kabhī dost ġhā.ebāna
vo sukūn baḳhsh dil ko ki taḌap uThe zamāna
hai tavāf ab bhī jaarī tire āstāñ kā lekin
nahīñ mil sakā jabīñ ko tirā sañg-e-āstāna
tirī bārgāh tak ho mirī kis tarah rasā.ī
mujhe dī ga.ī gadā.ī tujhe taḳht-e-ḳhusravāna
maiñ taḌap taḌap ke ġham meñ rahī be-qarār-o-muztar
mire dil kī dhaḌkanoñ ko nahīñ sun sakā zamāna
mirā shauq-e-sajda-rezī hai hanūz nā-mukammal
mujhe koī ye batā de hai kahāñ vo āstāna
mire ġham kī zindagī par mire hāl-e-bekasī par
kabhī rahm un ko aa.e kabhī ro paḌe zamāna
ka.ī baar aa ke bijlī girī sehn-e-gulsitāñ par
ye rahī hamārī qismat ki jalā na āshiyāna
mujhe hosh hī nahīñ kuchh ki maiñ shaad huuñ ki 'nāshād'
hai surūr-e-mai se baḌh kar mirā zauq-e-shā.irāna
main talash kar rahi thi gham-e-dil ka kuchh bahana
meri rah mein ye nahaq kahan aa gaya zamana
mere haal par karam kar kabhi dost ghaebana
wo sukun baKHsh dil ko ki taDap uThe zamana
hai tawaf ab bhi jari tere aastan ka lekin
nahin mil saka jabin ko tera sang-e-astana
teri bargah tak ho meri kis tarah rasai
mujhe di gai gadai tujhe taKHt-e-KHusrawana
main taDap taDap ke gham mein rahi be-qarar-o-muztar
mere dil ki dhaDkanon ko nahin sun saka zamana
mera shauq-e-sajda-rezi hai hanuz na-mukammal
mujhe koi ye bata de hai kahan wo aastana
mere gham ki zindagi par mere haal-e-bekasi par
kabhi rahm un ko aae kabhi ro paDe zamana
kai bar aa ke bijli giri sehn-e-gulsitan par
ye rahi hamari qismat ki jala na aashiyana
mujhe hosh hi nahin kuchh ki main shad hun ki 'nashad'
hai surur-e-mai se baDh kar mera zauq-e-shairana
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.