zauq-e-takallum par urdu ne rah anokhi kholi hai
zauq-e-takallum par urdu ne raah anokhī kholī hai
rañg kī gahrā.ī naapī hai phuul kī ḳhushbū tolī hai
ye nāzuk jazbāt ke albele iz.hār kī bolī hai
urdu pyaar kī bolī hai
garmā.e tahzīb kī mahfil chamkāyā afsāne ko
rañg bikherā āñchal āñchal ruup kā maan baḌhāne ko
shabdoñ ke pyāle meñ is ne dil kī laalī gholī hai
urdu pyaar kī bolī hai
'mīr' ne dil kī dhaḌkan dī 'iqbāl' ne fikr kā nuur diyā
'ġhālib' ne āġhosh ko is kī husn-e-qarīb-o-dūr diyā
jis pe ḳhazīnoñ ko rashk aa.e urdu kī vo jholī hai
urdu pyaar kī bolī hai
krishn ke afsānoñ kā jaadū diloñ kā saudā kartā hai
'jigar' kā naġhma āñkhoñ hī āñkhoñ meñ ishāra kartā hai
miloñ se khaliyānoñ tak raqs meñ dīvānoñ kī Tolī hai
urdu pyaar kī bolī hai
giit 'firāq' ke jhilmil jhilmil karte haiñ mash.al kī tarah
hurmat kī lai sāya-fagan hai sāvan ke bādal kī tarah
kis lailā kā mahmil hai ye kis gorī kī Dolī hai
urdu pyaar kī bolī hai
zauq-e-takallum par urdu ne rah anokhi kholi hai
rang ki gahrai napi hai phul ki KHushbu toli hai
ye nazuk jazbaat ke albele izhaar ki boli hai
urdu pyar ki boli hai
garmae tahzib ki mahfil chamkaya afsane ko
rang bikhera aanchal aanchal rup ka man baDhane ko
shabdon ke pyale mein is ne dil ki lali gholi hai
urdu pyar ki boli hai
'mir' ne dil ki dhaDkan di 'iqbaal' ne fikr ka nur diya
'ghaalib' ne aaghosh ko is ki husn-e-qarib-o-dur diya
jis pe KHazinon ko rashk aae urdu ki wo jholi hai
urdu pyar ki boli hai
krishn ke afsanon ka jadu dilon ka sauda karta hai
'jigar' ka naghma aankhon hi aankhon mein ishaara karta hai
milon se khaliyanon tak raqs mein diwanon ki Toli hai
urdu pyar ki boli hai
git 'firaq' ke jhilmil jhilmil karte hain mashal ki tarah
hurmat ki lai saya-fagan hai sawan ke baadal ki tarah
kis laila ka mahmil hai ye kis gori ki Doli hai
urdu pyar ki boli hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.