zawal-e-maghrib
zavāl hotā hai kaise ye dekh maġhrib ko
jumūd-e-'aish-o-taraqqī se haiñ niDhāl ye log
na josh-o-justujū duniyā na.ī banāne kī
na koī soz hī in meñ zamāna-zadgāñ kā
sitam-rasīda jahāñ ke na naale sunte haiñ
na fikr-e-dīshab-o-imroz kī girāñ-bārī
dhakel aa.e haiñ mīrās kohna-ḳhānoñ meñ
tamām maz.hab-o-aqdār bhuul aa.e haiñ
vo inkishāf-e-falātūñ shurūh-e-sīnā.ī
vo ibtidā-e-da-vinci maqāl-e-schopenhauer
vahāñ pe gard-o-ġhubār-e-havas kī sartābī
tamām jism meñ jarsūma hirs-e-ashyā kā
shajar tamām ye ab sūkhne hī vaale haiñ
binā meñ is ke ḳhabāsat kī tuḳhm-kārī hai
zavāl-e-ġharb hai ab ik haqīqat-e-mubram
zawal hota hai kaise ye dekh maghrib ko
jumud-e-'aish-o-taraqqi se hain niDhaal ye log
na josh-o-justuju duniya nai banane ki
na koi soz hi in mein zamana-zadgan ka
sitam-rasida jahan ke na nale sunte hain
na fikr-e-dishab-o-imroz ki giran-bari
dhakel aae hain miras kohna-KHanon mein
tamam mazhab-o-aqdar bhul aae hain
wo inkishaf-e-falatun shuruh-e-sinai
wo ibtida-e-da-winci maqal-e-schopenhauer
wahan pe gard-o-ghubar-e-hawas ki sartabi
tamam jism mein jarsuma hirs-e-ashya ka
shajar tamam ye ab sukhne hi wale hain
bina mein is ke KHabasat ki tuKHm-kari hai
zawal-e-gharb hai ab ek haqiqat-e-mubram
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.