kal talak jo dhartī par
sar-buland parcham thā
āftāb kī sūrat
rañg jis ke chehre kā
duur tak chamaktā thā
aaj us se lipTī haiñ
TiDDiyāñ havāoñ kī
surḳhiyoñ ke sho.aloñ ko
le rahī haiñ narġhe meñ
badliyāñ fazāoñ kī
'marx'-jī ke putle par
baiThā kaalā kavvā ek
beat karne vaalā hai
paas hī meñ na.ara ek
inqalāb zindābād
gūñjtā hai rah rah kar
kal talak jo dharti par
sar-buland parcham tha
aaftab ki surat
rang jis ke chehre ka
dur tak chamakta tha
aaj us se lipTi hain
TiDDiyan hawaon ki
surKHiyon ke shoalon ko
le rahi hain narghe mein
badliyan fazaon ki
'marx'-ji ke putle par
baiTha kala kawwa ek
beat karne wala hai
pas hi mein nara ek
inqalab zindabaad
gunjta hai rah rah kar
- Book : Aank Mein Luknat (Pg. 129)
- Author : Ghazanfar
- Publication : Maktaba Jamia Ltd. (2015)
- Edition : 2015
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.