jis din mere des kī miTTī
komal miTTī
patthar ban kar
mahloñ aur qil.oñ ke ruup meñ Dhal jā.egī
us din gandum jal jā.egī
jis din mere des ke dariyāoñ kā paanī
ThanDā paanī
bijlī ban kar
shahroñ kī kaalī rātoñ kī zīnat kā sāmān banegā
us din chāñd pighal jā.egā
jis din mere des kī halkī tez havā.eñ
insānoñ ke ḳhuun se bhar jā.eñgī
jis din khetoñ kī ḳhāmoshī
bojhal dhaat kī āvāzoñ meñ kho jā.egī
us din sūraj bujh jā.egā
jīvan kī pagDanDī us din so jā.egī
jis din mere des ki miTTi
komal miTTi
patthar ban kar
mahlon aur qilon ke rup mein Dhal jaegi
us din gandum jal jaegi
jis din mere des ke dariyaon ka pani
ThanDa pani
bijli ban kar
shahron ki kali raaton ki zinat ka saman banega
us din chand pighal jaega
jis din mere des ki halki tez hawaen
insanon ke KHun se bhar jaengi
jis din kheton ki KHamoshi
bojhal dhat ki aawazon mein kho jaegi
us din suraj bujh jaega
jiwan ki pagDanDi us din so jaegi
- Book : Nai Nazm ka safar (Pg. 218)
- Author : Khalilur Rahman Azmi
- Publication : NCPUL, New Delhi (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.