zawal ki aaKHiri hichkiyan
zavāl ke āsmānoñ meñ laḌkhaḌāte
añdhere ḳhalāoñ kī duniyāoñ meñ muallaq hote
añdhere shahroñ ke burjoñ kī gumnām fasīloñ par girte
tashaddud se ābād insānī bastiyoñ ke chehroñ se lipaTte
aur insānī vajūd kī dhajjiyāñ dekh kar chīḳhte rote
kitne hazār saal biit ga.e haiñ
kitne hazār sāloñ se zavāl kī chīḳhoñ ko sunte sunte
sā.ateñ thak ga.ī haiñ
sā.ateñ az-bas thak ga.ī haiñ
jalī huī ishtihāoñ kī qauseñ
zā.ichoñ ke hurūf dekhte dekhte dam toḌ chukī haiñ
ḳhvāhishoñ ke be-pāyāñ hujūm
hasratoñ kī surḳh mehrāboñ ke nīche
sadiyoñ kī dabīz gard ke andar dhañste chale ga.e haiñ
ḳhākistarī ayyām kī mutvarrim dhuul meñ
be-ant mutalāhaToñ ke vaar sahte sahte
sab kuchh madfūn ho gayā hai
magar ab ye zavāl kī āḳhirī chīḳh hai
sāhiloñ par parindoñ ke na.e qāfiloñ kā shor hai
aur bādbānoñ pe surḳh rañgoñ kī phaḌphaḌāhaT
gum-gashta shahroñ kī be-ābād fasīloñ ke burjoñ par
ham zavāl kī āḳhirī sā.atoñ kī
āḳhirī hichkiyāñ sun rahe haiñ
zawal ke aasmanon mein laDkhaDate
andhere KHalaon ki duniyaon mein muallaq hote
andhere shahron ke burjon ki gumnam fasilon par girte
tashaddud se aabaad insani bastiyon ke chehron se lipaTte
aur insani wajud ki dhajjiyan dekh kar chiKHte rote
kitne hazar sal bit gae hain
kitne hazar salon se zawal ki chiKHon ko sunte sunte
saaten thak gai hain
saaten az-bas thak gai hain
jali hui ishtihaon ki qausen
zaichon ke huruf dekhte dekhte dam toD chuki hain
KHwahishon ke be-payan hujum
hasraton ki surKH mehrabon ke niche
sadiyon ki dabiz gard ke andar dhanste chale gae hain
KHakistari ayyam ki mutwarrim dhul mein
be-ant mutalahaTon ke war sahte sahte
sab kuchh madfun ho gaya hai
magar ab ye zawal ki aaKHiri chiKH hai
sahilon par parindon ke nae qafilon ka shor hai
aur baadbanon pe surKH rangon ki phaDphaDahaT
gum-gashta shahron ki be-abaad fasilon ke burjon par
hum zawal ki aaKHiri saaton ki
aaKHiri hichkiyan sun rahe hain
- Book : Prindey,phool taalab (Pg. 624)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.