botal ke andar kā jin
nikle to us se pūchheñ
jiine kā kyā Dhañg kareñ
kin sapnoñ se jañg kareñ
kholo soda laao gilās
do aane ke sīḳh-kabāb
cigarette bhī lete aanā
park meñ kyā vo aa.ī thī
aaj bhī kyā sharmā.ī thī
kaise kapḌe pahne thī
kyā andāz thā juuḌe kā
tum ne us se pūchhā thā
raat jo tum ne sochā thā
'faiz' kī taaza nazm paḌhī
aur 'bedī' kā afsāna
luup se kyā hāsil hogā
dariyā kyā sāhil hogā
bhuuk se jantā martī hai
punjabi suube ke ba.ad
chiin na.ī dhamkī degā
indarā jī ke bhāshan meñ
panDit jī kī baat kahāñ
shastarī urdu bolte the
jan-sañghī kyuuñ sunte the
aaj kisī kī barsī thī
west-indies hī jītegā
thoḌā soda aur milāo
kidhar lottery hai batlāo
tum itne ḳhāmosh ho kyuuñ
nazm koī kah Daalī kyā
to phir kyā hai ho jaa.e
lekin shart tarannum hai
pañkhe kī speed baḌhāo
kathmandu nepal meñ hai
sartre kī biivī kaisī hai
ham bandar ke pote haiñ
meraTh se qaiñchī bhī laa.e
lā-yānī haiñ marg o ziist
be-ma.anī haiñ sab alfāz
be-his hai maḳhlūq-e-ḳhudā
har insāñ ik saaya hai
shādī ġham ik dhokā hai
dil āñkheñ lab haath dimāġh
ek vabā kī zad meñ haiñ
apne zavāl kī had meñ haiñ
botal ke andar ka jin
nikle to us se puchhen
jine ka kya Dhang karen
kin sapnon se jang karen
kholo soda lao gilas
do aane ke siKH-kabab
cigarette bhi lete aana
park mein kya wo aai thi
aaj bhi kya sharmai thi
kaise kapDe pahne thi
kya andaz tha juDe ka
tum ne us se puchha tha
raat jo tum ne socha tha
'faiz' ki taza nazm paDhi
aur 'bedi' ka afsana
lup se kya hasil hoga
dariya kya sahil hoga
bhuk se janta marti hai
punjabi sube ke baad
chin nai dhamki dega
indara ji ke bhashan mein
panDit ji ki baat kahan
shastari urdu bolte the
jan-sanghi kyun sunte the
aaj kisi ki barsi thi
west-indies hi jitega
thoDa soda aur milao
kidhar lottery hai batlao
tum itne KHamosh ho kyun
nazm koi kah Dali kya
to phir kya hai ho jae
lekin shart tarannum hai
pankhe ki speed baDhao
kathmandu nepal mein hai
sartre ki biwi kaisi hai
hum bandar ke pote hain
meraTh se qainchi bhi lae
la-yani hain marg o zist
be-mani hain sab alfaz
be-his hai maKHluq-e-KHuda
har insan ek saya hai
shadi gham ek dhoka hai
dil aankhen lab hath dimagh
ek waba ki zad mein hain
apne zawal ki had mein hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.