ziddi bachcha
ye ik bachche kā qissa hai
ye bachcha thā baḌā ziddī
natīja ye huā zid kā
ye aadat paḌ ga.ī us kī
jo sīdhī baat bhī kahte
samajhtā us ko vo ulTī
vo kahtā garm ko ThanDā
vo kahtā ThanD ko garmī
vo kahtā farsh ko takiya
vo kahtā mez ko kursī
vo kahtā hat ko achkan
vo kahtā coat ko sadrī
vo kahtā hauz ko dariyā
vo kahtā jhiil ko naddī
vo kahtā gosht ko roTī
vo kahtā duudh ko paanī
vo kahtā mirch ko shalġham
vo kahtā pyaaz ko muulī
vo kahtā bheḌ ko ghoḌā
vo kahtā bail ko bakrī
khilāte us ko gar laDDū
vo khānā chāhtā barfī
mañgāte us se gar aalū
to detā lā ke vo gobhī
ġharaz maiñ kyā kahūñ 'nayyar'
thī baat us kī har ik auñdhī
ye ek bachche ka qissa hai
ye bachcha tha baDa ziddi
natija ye hua zid ka
ye aadat paD gai us ki
jo sidhi baat bhi kahte
samajhta us ko wo ulTi
wo kahta garm ko ThanDa
wo kahta ThanD ko garmi
wo kahta farsh ko takiya
wo kahta mez ko kursi
wo kahta hat ko achkan
wo kahta coat ko sadri
wo kahta hauz ko dariya
wo kahta jhil ko naddi
wo kahta gosht ko roTi
wo kahta dudh ko pani
wo kahta mirch ko shalgham
wo kahta pyaz ko muli
wo kahta bheD ko ghoDa
wo kahta bail ko bakri
khilate us ko gar laDDu
wo khana chahta barfi
mangate us se gar aalu
to deta la ke wo gobhi
gharaz main kya kahun 'nayyar'
thi baat us ki har ek aundhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.