zine to bas zine hain
jis ne janm kī ghuTTī chakkhī
us ko ziine tai karnā haiñ
andar bāhar
nīche uupar
aage pīchhe
ziine har har or
jitnā jaano
chaḌh aa.e
utnā samjho
utar chuke ho
us ne kahā
ziine ajab fareb haiñ baabā
aaj talak ye khul nahīñ paa.e
ziine ye bal khāte ziine
janm janm ke pher
azal ghaḌī se
ant samay tak
ziine aprampār
us ne kahā
ziina ziina chaḌhte jaao
chaḌhte jaao
baam pe jab pahuñchoge
to pātāl kī ik shab-rañgī nāgin
phan phailā.e pāoge
jis ne tum ko Dasnā hai
ziina ziina utarte jaao
aur utarte jaao
jab āñgan meñ qadam rakhoge
baam pe ḳhud ko pāoge
us ne kahā
nafī isbāt ke
is malġhūbe meñ
kaisā chaḌhnā
kaisā utarnā
gole kī is khīñch meñ baabā
baam kahāñ
pātāl kahāñ hai
kis ko ḳhabar hai
ziine to bas ziine haiñ
ham ko unheñ tai karnā hai
jis ne janm ki ghuTTi chakkhi
us ko zine tai karna hain
andar bahar
niche upar
aage pichhe
zine har har or
jitna jaano
chaDh aae
utna samjho
utar chuke ho
us ne kaha
zine ajab fareb hain baba
aaj talak ye khul nahin pae
zine ye bal khate zine
janm janm ke pher
azal ghaDi se
ant samay tak
zine aprampar
us ne kaha
zina zina chaDhte jao
chaDhte jao
baam pe jab pahunchoge
to patal ki ek shab-rangi nagin
phan phailae paoge
jis ne tum ko Dasna hai
zina zina utarte jao
aur utarte jao
jab aangan mein qadam rakhoge
baam pe KHud ko paoge
us ne kaha
nafi isbaat ke
is malghube mein
kaisa chaDhna
kaisa utarna
gole ki is khinch mein baba
baam kahan
patal kahan hai
kis ko KHabar hai
zine to bas zine hain
hum ko unhen tai karna hai
- Book : Quarterly TASTEER Lahore (Pg. 77)
- Author : Naseer Ahmed Nasir
- Publication : Room No.-1,1st Floor, Awan Plaza, Shadman Market, Lahore (Issue No. 4, Jan To Mar.1998)
- Edition : Issue No. 4, Jan To Mar.1998
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.