zist-mizajon ka nauha
resha-e-ashk pe Tāñke hue ham barg-e-malāl
qarya-e-vahshat o uftād meñ haiñ ḳhema-ba-dosh
apne hisse kī jahāñgīrī uThā laa.e haiñ
kyā ḳhabar kaun nazar turfa masīhā.ī ho
kaun sā zahr tire hijr kā tiryāq bane
bas isī kār-e-farāġhat pe hai māmūr ye dil
jis pe khulte nahīñ asrār-e-ta.alluq na mizāj
apnī hī dhan meñ subuk-ḳhez chalā jaatā hai
ek andesha-e-ījāz-e-talātum kī taraf
jis kī tahzīb pe tahrīr haiñ naame tere
sāhira dekh kabhī zīst-mizājoñ kī taraf
dekh kyā rañg tire ḳhāk-nashīnoñ kā huā
par tujhe fursat-e-nazzāra-e-ḳhāshāk nahīñ
terī āñkhoñ meñ farozāñ hai sitāroñ kā vafūr
ham ki be-nūr charāġhoñ ke ḳharāshīda badan
apnī hī lau kī saḳhāvat se jale baiThe haiñ
ham jahāñgīr-mizājoñ meñ luTe baiThe haiñ
resha-e-ashk pe Tanke hue hum barg-e-malal
qarya-e-wahshat o uftad mein hain KHema-ba-dosh
apne hisse ki jahangiri uTha lae hain
kya KHabar kaun nazar turfa masihai ho
kaun sa zahr tere hijr ka tiryaq bane
bas isi kar-e-faraghat pe hai mamur ye dil
jis pe khulte nahin asrar-e-talluq na mizaj
apni hi dhan mein subuk-KHez chala jata hai
ek andesha-e-ijaz-e-talatum ki taraf
jis ki tahzib pe tahrir hain name tere
sahira dekh kabhi zist-mizajon ki taraf
dekh kya rang tere KHak-nashinon ka hua
par tujhe fursat-e-nazzara-e-KHashak nahin
teri aankhon mein farozan hai sitaron ka wafur
hum ki be-nur charaghon ke KHarashida badan
apni hi lau ki saKHawat se jale baiThe hain
hum jahangir-mizajon mein luTe baiThe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.