zinda dar-gor
maiñ ḳhudā kī qabr huuñ
ḳhudā mere andar dafn hai
bha.ī, maiñ ne apne hāthoñ se dafn kiyā hai use!
farq ye hai ki dafn hone ke bāvajūd zinda hai vo
zinda dar-gor
uupar se malba haTāne kī der hai
andar se ḳhudā nikal aa.egā
haañ haañ mere andar se nikal aa.egā
ye jo manoñ miTTī Daal rakkhī hai maiñ ne us par
aqīdoñ aur nazaryoñ kī
ḳhayāloñ aur vāhimoñ kī
ḳhvāhishoñ aur laġhviyāt kī
agar kisī roz kisī tūfān bārish meñ bah ga.ī
to dekhnā isī mere TūTe-phūTe badan kī ujaaḌ qabr se
jītā-jāgtā tar-o-tāza ḳhudā kaise numūdār ho jā.egā
jaise sar-ba-falak pahāḌiyoñ kī yaḳh-basta vādiyoñ meñ
barf pighalne ke ba.ad
dekhte hī dekhte
tā-hadd-e-nazar
phuul khil uThte haiñ
main KHuda ki qabr hun
KHuda mere andar dafn hai
bhai, main ne apne hathon se dafn kiya hai use!
farq ye hai ki dafn hone ke bawajud zinda hai wo
zinda dar-gor
upar se malba haTane ki der hai
andar se KHuda nikal aaega
han han mere andar se nikal aaega
ye jo manon miTTi Dal rakkhi hai main ne us par
aqidon aur nazaryon ki
KHayalon aur wahimon ki
KHwahishon aur laghwiyat ki
agar kisi roz kisi tufan barish mein bah gai
to dekhna isi mere TuTe-phuTe badan ki ujaD qabr se
jita-jagta tar-o-taza KHuda kaise numudar ho jaega
jaise sar-ba-falak pahaDiyon ki yaKH-basta wadiyon mein
barf pighalne ke baad
dekhte hi dekhte
ta-hadd-e-nazar
phul khil uThte hain
- Book : din kaa phool (Pg. 21)
- Author : mohammad haniif ramay
- Publication : Sang-e-meel publications (2007)
- Edition : 2007
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.