zinda pani sachcha
pul ke nīche jhāñk ke dekho aaj nadī tūfānī hai
biphrī lahreñ jhaag uḌātī haiñ kyā zinda paanī hai
aur bhañvar pul ke be-rañg sutūnoñ se Takrāte haiñ
jin par bojh hai us pul kā vo shāne TuuTe jaate haiñ
vo ik kubḌā peḌ nadī par yuuñ jhuk aayā hai jaise
ek kināra haath baḌhā kar dūsre se milnā chāhe
duur ik meDak chīḳh rahā hai, ḳhatroñ se āzād huuñ maiñ
is se baḌh kar ġhārat-gar tūfān nazar se guzre haiñ
ik paanī kā saañp na jaane kab se us kī taak meñ hai
vo bhī jāntā hai ye raaz ki milnā āḳhir ḳhaak meñ hai
ek qamīs chalī aatī hai jaane kahāñ se bahtī huī
jis meñ nāḳhun gaaḌ diye haiñ ab ik aabī jhāḌī ne
is kā mālik bichhaḌ gayā hai ye bhī us ke paas chalī
ik bahte darvāze par ik bhīgī billī baiThī hai
jo aane vaale lamhoñ kī bābat sochtī jaatī hai
sochte sochte us kī āñkheñ ho jā.eñgī sehr-zada
aur us ke bāloñ kā resham paanī meñ mil jā.egā
lahar kī ik dīvār girī aur bulbule dab kar TuuT ga.e
jin kī phūTtī āñkhoñ se kuchh ḳhvāb nikal kar bhaag chale
ye ḳhvāboñ ke dekhne vaale āḳhir kyuuñ nahīñ sochte haiñ
sab afsāne jhūTe haiñ, sab ḳhvāb bikharne vaale haiñ
is lā-fānī jhuuT ke pīchhe sach hai agar to itnā hai
ye sab kuchh hotā rahtā hai paanī bahtā rahtā hai
pul ke niche jhank ke dekho aaj nadi tufani hai
biphri lahren jhag uDati hain kya zinda pani hai
aur bhanwar pul ke be-rang sutunon se Takraate hain
jin par bojh hai us pul ka wo shane TuTe jate hain
wo ek kubDa peD nadi par yun jhuk aaya hai jaise
ek kinara hath baDha kar dusre se milna chahe
dur ek meDak chiKH raha hai, KHatron se aazad hun main
is se baDh kar ghaarat-gar tufan nazar se guzre hain
ek pani ka sanp na jaane kab se us ki tak mein hai
wo bhi jaanta hai ye raaz ki milna aaKHir KHak mein hai
ek qamis chali aati hai jaane kahan se bahti hui
jis mein naKHun gaD diye hain ab ek aabi jhaDi ne
is ka malik bichhaD gaya hai ye bhi us ke pas chali
ek bahte darwaze par ek bhigi billi baiThi hai
jo aane wale lamhon ki babat sochti jati hai
sochte sochte us ki aankhen ho jaengi sehr-zada
aur us ke baalon ka resham pani mein mil jaega
lahar ki ek diwar giri aur bulbule dab kar TuT gae
jin ki phuTti aankhon se kuchh KHwab nikal kar bhag chale
ye KHwabon ke dekhne wale aaKHir kyun nahin sochte hain
sab afsane jhuTe hain, sab KHwab bikharne wale hain
is la-fani jhuT ke pichhe sach hai agar to itna hai
ye sab kuchh hota rahta hai pani bahta rahta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.