ret muTThī meñ kabhī Thahrī hai
pyaas se us ko ilāqa kyā hai
umr kā kitnā baḌā hissa gañvā baiThā maiñ
jānte būjhte kirdār Darāme kā banā
aur is rol ko sab kahte haiñ
hoshiyārī se nibhāyā maiñ ne
hañsne ke jitne maqām aa.e hañsā
bas mujhe rone kī saa.at pe ḳhajil honā paḌā
jaane kyuuñ rone ke har lamhe ko
Taal detā huuñ kisī aglī ghaḌī par
dil meñ ḳhauf o nafrat ko sajā letā huuñ
mujh ko ye duniyā bhalī lagtī hai
bhiiḌ meñ ajnabī lagne meñ mazā aatā hai
āshnā chehroñ ke badle hue tevar mujh ko
haal se maazī meñ le jaate haiñ
kuhniyāñ zaḳhmī haiñ aur ghuTnoñ par
kuchh ḳharāshoñ ke nishāñ
soñdhī miTTī kī mahak khīñche liye jaatī hai
titliyāñ phuul havā chāñdnī kañkar patthar
sab mire saath meñ haiñ
saañs be-ḳhaufī se letā huuñ maiñ
ret muTThi mein kabhi Thahri hai
pyas se us ko ilaqa kya hai
umr ka kitna baDa hissa ganwa baiTha main
jaante bujhte kirdar Darame ka bana
aur is rol ko sab kahte hain
hoshiyari se nibhaya main ne
hansne ke jitne maqam aae hansa
bas mujhe rone ki saat pe KHajil hona paDa
jaane kyun rone ke har lamhe ko
Tal deta hun kisi agli ghaDi par
dil mein KHauf o nafrat ko saja leta hun
mujh ko ye duniya bhali lagti hai
bhiD mein ajnabi lagne mein maza aata hai
aashna chehron ke badle hue tewar mujh ko
haal se mazi mein le jate hain
kuhniyan zaKHmi hain aur ghuTnon par
kuchh KHarashon ke nishan
sondhi miTTi ki mahak khinche liye jati hai
titliyan phul hawa chandni kankar patthar
sab mere sath mein hain
sans be-KHaufi se leta hun main
- Book : sooraj ko nikalta dekhoon (Pg. 525)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.