ye khel kya hai
mire muḳhālif ne chaal chal dī hai
aur ab
merī chaal ke intizār meñ hai
magar maiñ kab se
safed-ḳhānoñ
siyāh-ḳhānoñ meñ rakkhe
kaale safed mohroñ ko dekhtā huuñ
maiñ sochtā huuñ
ye mohre kyā haiñ
agar maiñ samjhūñ
ke ye jo mohre haiñ
sirf lakḌī ke haiñ khilaune
to jītnā kyā hai hārnā kyā
na ye zarūrī
na vo aham hai
agar ḳhushī hai na jītne kī
na hārne kā hī koī ġham hai
to khel kyā hai
maiñ sochtā huuñ
jo khelnā hai
to apne dil meñ yaqīn kar luuñ
ye mohre sach-much ke bādshāh o vazīr
sach-much ke haiñ payāde
aur in ke aage hai
dushmanoñ kī vo fauj
rakhtī hai jo ki mujh ko tabāh karne ke
saare mansūbe
sab irāde
magar aisā jo maan bhī luuñ
to sochtā huuñ
ye khel kab hai
ye jañg hai jis ko jītnā hai
ye jañg hai jis meñ sab hai jaa.ez
koī ye kahtā hai jaise mujh se
ye jañg bhī hai
ye khel bhī hai
ye jañg hai par khilāḌiyoñ kī
ye khel hai jañg kī tarah kā
maiñ sochtā huuñ
jo khel hai
is meñ is tarah kā usuul kyuuñ hai
ki koī mohara rahe ki jaa.e
magar jo hai bādshāh
us par kabhī koī aañch bhī na aa.e
vazīr hī ko hai bas ijāzat
ki jis taraf bhī vo chāhe jaa.e
maiñ sochtā huuñ
jo khel hai
is meñ is tarah usuul kyuuñ hai
piyāda jo apne ghar se nikle
palaT ke vāpas na jaane paa.e
maiñ sochtā huuñ
agar yahī hai usuul
to phir usuul kyā hai
agar yahī hai ye khel
to phir ye khel kyā hai
maiñ in savāloñ se jaane kab se ulajh rahā huuñ
mire muḳhālif ne chaal chal dī hai
aur ab merī chaal ke intizār meñ hai
mere muKHalif ne chaal chal di hai
aur ab
meri chaal ke intizar mein hai
magar main kab se
safed-KHanon
siyah-KHanon mein rakkhe
kale safed mohron ko dekhta hun
main sochta hun
ye mohre kya hain
agar main samjhun
ke ye jo mohre hain
sirf lakDi ke hain khilaune
to jitna kya hai haarna kya
na ye zaruri
na wo aham hai
agar KHushi hai na jitne ki
na haarne ka hi koi gham hai
to khel kya hai
main sochta hun
jo khelna hai
to apne dil mein yaqin kar lun
ye mohre sach-much ke baadshah o wazir
sach-much ke hain payaade
aur in ke aage hai
dushmanon ki wo fauj
rakhti hai jo ki mujh ko tabah karne ke
sare mansube
sab irade
magar aisa jo man bhi lun
to sochta hun
ye khel kab hai
ye jang hai jis ko jitna hai
ye jang hai jis mein sab hai jaez
koi ye kahta hai jaise mujh se
ye jang bhi hai
ye khel bhi hai
ye jang hai par khilaDiyon ki
ye khel hai jang ki tarah ka
main sochta hun
jo khel hai
is mein is tarah ka usul kyun hai
ki koi mohara rahe ki jae
magar jo hai baadshah
us par kabhi koi aanch bhi na aae
wazir hi ko hai bas ijazat
ki jis taraf bhi wo chahe jae
main sochta hun
jo khel hai
is mein is tarah usul kyun hai
piyaada jo apne ghar se nikle
palaT ke wapas na jaane pae
main sochta hun
agar yahi hai usul
to phir usul kya hai
agar yahi hai ye khel
to phir ye khel kya hai
main in sawalon se jaane kab se ulajh raha hun
mere muKHalif ne chaal chal di hai
aur ab meri chaal ke intizar mein hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.