zindagi se Darte ho
zindagī se Darte ho!
zindagī to tum bhī ho zindagī to ham bhī haiñ!
zindagī se Darte ho?
aadmī se Darte ho?
aadmī to tum bhī ho aadmī to ham bhī haiñ
aadmī zabāñ bhī hai aadmī bayāñ bhī hai
us se tum nahīñ Darte!
harf aur ma.anī ke rishta-hā-e-āhan se aadmī hai vābasta
aadmī ke dāman se zindagī hai vābasta
us se tum nahīñ Darte
''an-kahī'' se Darte ho
jo abhī nahīñ aa.ī us ghaḌī se Darte ho
us ghaḌī kī aamad kī āgahī se Darte ho
pahle bhī to guzre haiñ
daur nā-rasā.ī ke ''be-riyā'' ḳhudā.ī ke
phir bhī ye samajhte ho hech ārzū-mandī
ye shab-e-zabāñ-bandī hai rah-e-ḳhudā-vandī
tum magar ye kyā jaano
lab agar nahīñ hilte haath jaag uThte haiñ
haath jaag uThte haiñ raah kā nishāñ ban kar
nuur kī zabāñ ban kar
haath bol uThte haiñ sub.h kī azaañ ban kar
raushnī se Darte ho
raushnī to tum bhī ho raushnī to ham bhī haiñ
raushnī se Darte ho
shahr kī fasīloñ par
dev kā jo saaya thā paak ho gayā āḳhir
raat kā libāda bhī
chaak ho gayā āḳhir ḳhaak ho gayā āḳhir
izhdihām-e-insāñ se fard kī navā aa.ī
zaat kī sadā aa.ī
rāh-e-shauq meñ jaise rāh-rau kā ḳhuuñ lapke
ik nayā junūñ lapke
aadmī chhalak uTThe
aadmī hañse dekho shahr phir base dekho
tum abhī se Darte ho?
haañ abhī to tum bhī ho
haañ abhī to ham bhī haiñ
tum abhī se Darte ho
zindagi se Darte ho!
zindagi to tum bhi ho zindagi to hum bhi hain!
zindagi se Darte ho?
aadmi se Darte ho?
aadmi to tum bhi ho aadmi to hum bhi hain
aadmi zaban bhi hai aadmi bayan bhi hai
us se tum nahin Darte!
harf aur mani ke rishta-ha-e-ahan se aadmi hai wabasta
aadmi ke daman se zindagi hai wabasta
us se tum nahin Darte
an-kahi se Darte ho
jo abhi nahin aai us ghaDi se Darte ho
us ghaDi ki aamad ki aagahi se Darte ho
pahle bhi to guzre hain
daur na-rasai ke be-riya KHudai ke
phir bhi ye samajhte ho hech aarzu-mandi
ye shab-e-zaban-bandi hai rah-e-KHuda-wandi
tum magar ye kya jaano
lab agar nahin hilte hath jag uThte hain
hath jag uThte hain rah ka nishan ban kar
nur ki zaban ban kar
hath bol uThte hain subh ki azan ban kar
raushni se Darte ho
raushni to tum bhi ho raushni to hum bhi hain
raushni se Darte ho
shahr ki fasilon par
dew ka jo saya tha pak ho gaya aaKHir
raat ka libaada bhi
chaak ho gaya aaKHir KHak ho gaya aaKHir
izhdiham-e-insan se fard ki nawa aai
zat ki sada aai
rah-e-shauq mein jaise rah-rau ka KHun lapke
ek naya junun lapke
aadmi chhalak uTThe
aadmi hanse dekho shahr phir base dekho
tum abhi se Darte ho?
han abhi to tum bhi ho
han abhi to hum bhi hain
tum abhi se Darte ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.