zindagi aur maut
maut ik ḳhvāb hai ajzā-e-badan kā hamdam
zindagī naam hai ehsās kī bedārī kā
maut jis rahguzar-e-shauq meñ rahzan kī naqāb
zindagī raḳht usī rāh-e-talab-gārī kā
zindagī jism-o-dil-o-jāñ kī munazzam quvvat
maut iz.hār pareshānī-o-lāchārī kā
maut sahrāoñ meñ bikhre hue zarroñ kā ġhubār
zindagī naqsh unhī zarroñ kī chaman-kārī kā
maut be-mā.egī dāmān-e-zamīñ kī goyā
zindagī silsila bādal kī guhar-bārī kā
zindagī qāfila-e-sa.ī kī paiham tag-o-dau
maut dam bhar ke liye vaqfa hai bekārī kā
zindagī kā jise ma.alūm ho matlab us ko
maut kā ḳhauf na gardūñ kī tabah-kārī kā
maut ek KHwab hai ajza-e-badan ka hamdam
zindagi nam hai ehsas ki bedari ka
maut jis rahguzar-e-shauq mein rahzan ki naqab
zindagi raKHt usi rah-e-talab-gari ka
zindagi jism-o-dil-o-jaan ki munazzam quwwat
maut izhaar pareshani-o-lachaari ka
maut sahraon mein bikhre hue zarron ka ghubar
zindagi naqsh unhi zarron ki chaman-kari ka
maut be-maegi daman-e-zamin ki goya
zindagi silsila baadal ki guhar-bari ka
zindagi qafila-e-sai ki paiham tag-o-dau
maut dam bhar ke liye waqfa hai bekari ka
zindagi ka jise malum ho matlab us ko
maut ka KHauf na gardun ki tabah-kari ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.