zindagi aur maut
zindagī kī ajab kahānī hai
ek din maut sab ko aanī hai
kitnā nādān hai magar insān
jānte būjhte bhī hai anjān
aish-o-ishrat meñ kho gayā hai ye
niiñd ġhaflat kī so gayā hai ye
us ko ye bhī nahīñ zarā ehsās
aaj jo zindagī hai us ke paas
vo isī zaat kī amānat hai
jo sadā se hai tā-qayāmat hai
haath meñ hai usī ke shām-o-sahar
jāntā kaun hai kise hai ḳhabar
vaqt kab haath se phisal jaa.e
zindagī maut meñ badal jaa.e
zindagi ki ajab kahani hai
ek din maut sab ko aani hai
kitna nadan hai magar insan
jaante bujhte bhi hai anjaan
aish-o-ishrat mein kho gaya hai ye
nind ghaflat ki so gaya hai ye
us ko ye bhi nahin zara ehsas
aaj jo zindagi hai us ke pas
wo isi zat ki amanat hai
jo sada se hai ta-qayamat hai
hath mein hai usi ke sham-o-sahar
jaanta kaun hai kise hai KHabar
waqt kab hath se phisal jae
zindagi maut mein badal jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.