zindagi
malka-e-sahr-e-zindagī terā
shukr kis taur se adā kiije
daulat-e-dil kā kuchh shumār nahīñ
tañg-dastī kā kyā gila kiije
jo tire husn ke faqīr hue
un ko tashvīsh-e-rozgār kahāñ?
dard becheñge giit gā.eñge
is se ḳhush-baḳht kārobār kahāñ?
jaam chhalkā to jam ga.ī mahfil
minnat-e-lutf-e-ġham-gusār kise?
ashk Tapkā to khil gayā gulshan
rañj-e-kam-zarfī-e-bahār kise?
ḳhush-nashīñ haiñ ki chashm o dil kī murād
dair meñ hai na ḳhānqāh meñ hai
ham kahāñ qismat āzmāne jaa.eñ
har sanam apnī bārgāh meñ hai
kaun aisā ġhanī hai jis se koī
naqd-e-shams-o-qamar kī baat kare
jis ko shauq-e-nabard ho ham se
jaa.e tasḳhīr-e-ka.enāt kare
malka-e-sahr-e-zindagi tera
shukr kis taur se ada kije
daulat-e-dil ka kuchh shumar nahin
tang-dasti ka kya gila kije
jo tere husn ke faqir hue
un ko tashwish-e-rozgar kahan?
dard bechenge git gaenge
is se KHush-baKHt karobar kahan?
jam chhalka to jam gai mahfil
minnat-e-lutf-e-gham-gusar kise?
ashk Tapka to khil gaya gulshan
ranj-e-kam-zarfi-e-bahaar kise?
KHush-nashin hain ki chashm o dil ki murad
dair mein hai na KHanqah mein hai
hum kahan qismat aazmane jaen
har sanam apni bargah mein hai
kaun aisa ghani hai jis se koi
naqd-e-shams-o-qamar ki baat kare
jis ko shauq-e-nabard ho hum se
jae tasKHir-e-kaenat kare
- Book : Nuskha Hai Wafa (Kulliyat-e-Faiz) (Pg. 344)
- Publication : Educational Publishing House (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.