ghan garaj megh ḳhauf tanhā.ī
baḌh rahe the sabhī dishāoñ se
haath phailā.e
añdhkār ke bhuut
nīm-shab mahv-e-ḳhvāb sannāTā
TimTimāte diye kī zaḳhmī lau
le rahī thī sañbhal ke añgḌā.ī
pau phaTī sub.h-e-nau nikhar aa.ī
ek paiġhām-e-zindagī le kar
kaif-e-sad-jām-o-sarḳhushī le kar
sāz-o-mizrāb-o-naġhmagī le kar
muskurāne lage gul-o-gulzār
ghan garaj megh KHauf tanhai
baDh rahe the sabhi dishaon se
hath phailae
andhkar ke bhut
nim-shab mahw-e-KHwab sannaTa
TimTimate diye ki zaKHmi lau
le rahi thi sanbhal ke angDai
pau phaTi subh-e-nau nikhar aai
ek paigham-e-zindagi le kar
kaif-e-sad-jam-o-sarKHushi le kar
saz-o-mizrab-o-naghmagi le kar
muskurane lage gul-o-gulzar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.