zindagi
zindagī
itnī saada bhī nahīñ ki ek black-and-white t-v-set
us ke rañgoñ kā ahāta kar sake
magar rañgīn-set bhī to shā.irāna mubālġhe se kaam lete haiñ
ho saktā hai pocket-bhar hayāt meñ saat pocket rañg
uñDelne vāloñ kī haqīqī zindagī yahī ho
ruuh aur zamīr kī umr-bhar kī kamā.ī siyāh rañg kī puḌiyā hai
kisī fāhisha ke badan se uḌte hue lamhe kā
dhanak-bhar muāvza to nahīñ
māherīn girānī aur gunāh meñ tanāsub-e-mākūs nahīñ mānte
to aao zindagī ko inhī nigetives meñ dekheñ
zindagi
itni sada bhi nahin ki ek black-and-white t-w-set
us ke rangon ka ahata kar sake
magar rangin-set bhi to shairana mubaalghe se kaam lete hain
ho sakta hai pocket-bhar hayat mein sat pocket rang
unDelne walon ki haqiqi zindagi yahi ho
ruh aur zamir ki umr-bhar ki kamai siyah rang ki puDiya hai
kisi fahisha ke badan se uDte hue lamhe ka
dhanak-bhar muawza to nahin
maherin girani aur gunah mein tanasub-e-makus nahin mante
to aao zindagi ko inhi nigetiwes mein dekhen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.