zindagi
ham ka.ī baar TuuT kar bikhre
laḌkhaḌā.e gire uThe sañbhle
ek ik saañs ham pe bhārī hai
par safar aaj bhī ye jaarī hai
kaun hai ham-safar yahāñ apnā
kaun hai mo'atabar yahāñ apnā
zindagī ke ye marhale haiñ ajiib
pesh aate haiñ hādse bhī ajiib
kitnī Tīseñ dabī haiñ siine meñ
kitnī aaheñ ghuTī haiñ siine meñ
kitnā ye imtihān letī hai
kitnī mushkil se jiine detī hai
koī aahaT sī dil meñ rahtī hai
chhaT-paTāhaT sī dil meñ rahtī hai
oḌh rakkhī haiñ khokhlī ḳhushiyāñ
kuchh haqīqat nahīñ hai saarā gumāñ
chhūne detī nahīñ hai saa.e ko
sang chaltī hai bas dikhāve ko
kis qadar ham ko āzmā.egī
aur kitnā hameñ satā.egī
hum kai bar TuT kar bikhre
laDkhaDae gire uThe sanbhle
ek ek sans hum pe bhaari hai
par safar aaj bhi ye jari hai
kaun hai ham-safar yahan apna
kaun hai mo'atabar yahan apna
zindagi ke ye marhale hain ajib
pesh aate hain hadse bhi ajib
kitni Tisen dabi hain sine mein
kitni aahen ghuTi hain sine mein
kitna ye imtihan leti hai
kitni mushkil se jine deti hai
koi aahaT si dil mein rahti hai
chhaT-paTahaT si dil mein rahti hai
oDh rakkhi hain khokhli KHushiyan
kuchh haqiqat nahin hai sara guman
chhune deti nahin hai sae ko
sang chalti hai bas dikhawe ko
kis qadar hum ko aazmaegi
aur kitna hamein sataegi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.