zindagi ka saz
tū kabhī rātoñ kī tanhā.ī meñ mere paas aa
mere kānoñ se mirī ḳhāmoshiyoñ ke saaz sun
tū mirī āvāz sun
merī āñkhoñ meñ machalte motiyoñ ke rang dekh
tū kabhī qalb-o-nazar kī jang dekh
dekh maiñ kin ehtiyātoñ ke sunahrī jaal ko
dard meñ Duubī huī chhāñv ke is janjāl ko
ārzūoñ ke jharokoñ meñ sulagtī haDDiyoñ ke gird chimTā.e hue
ḳhvāhishoñ kī aag ko phir dhyān kī chunarī meñ kafnā.e hue
muntazir huuñ phir usī āvāz kā
zindagī ke saaz kā
tū kabhī rātoñ kī tanhā.ī meñ mere paas aa
tu kabhi raaton ki tanhai mein mere pas aa
mere kanon se meri KHamoshiyon ke saz sun
tu meri aawaz sun
meri aankhon mein machalte motiyon ke rang dekh
tu kabhi qalb-o-nazar ki jang dekh
dekh main kin ehtiyaton ke sunahri jal ko
dard mein Dubi hui chhanw ke is janjal ko
aarzuon ke jharokon mein sulagti haDDiyon ke gird chimTae hue
KHwahishon ki aag ko phir dhyan ki chunari mein kafnae hue
muntazir hun phir usi aawaz ka
zindagi ke saz ka
tu kabhi raaton ki tanhai mein mere pas aa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.