zindagi ka safar
zindagī ik safar hai sadiyoñ se
bahtā aayā hai bahtā jā.egā
ham agar is ko roknā chāheñ
maut kā saath DhūñDhnā hogā
ye bhī sadiyoñ kī ik rivāyat hai
jab bhī ham zindagī se laḌte haiñ
aur chāhte haiñ ki najāt mile
maut hī sirf aisā rishta hai
jo hameñ mo'atabar sā lagtā hai
aur lagtā hai mil ke ham us se
zindagī se najāt pā leñge
aur pā leñge ik sukūn jise
na zarūrat ho saañs lene kī
na hī aadat ho bahte rahne kī
kitne barsoñ se kitnī sadiyoñ se
bahtā aayā hai zindagī kā safar
aur ab to ye haal hai is kā
bahte rahnā hī is kī aadat hai
ādateñ bhī ajiib hotī haiñ
zindagi ek safar hai sadiyon se
bahta aaya hai bahta jaega
hum agar is ko rokna chahen
maut ka sath DhunDhna hoga
ye bhi sadiyon ki ek riwayat hai
jab bhi hum zindagi se laDte hain
aur chahte hain ki najat mile
maut hi sirf aisa rishta hai
jo hamein mo'atabar sa lagta hai
aur lagta hai mil ke hum us se
zindagi se najat pa lenge
aur pa lenge ek sukun jise
na zarurat ho sans lene ki
na hi aadat ho bahte rahne ki
kitne barson se kitni sadiyon se
bahta aaya hai zindagi ka safar
aur ab to ye haal hai is ka
bahte rahna hi is ki aadat hai
aadaten bhi ajib hoti hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.