zindagi ka waqfa
raat sannāTe kī chādar meñ paḌī hai lipTī
pattiyāñ saḌkoñ kī sab jaag rahī haiñ jaise
dekhnā chāhtī haiñ shahr meñ kyā hotā hai
maiñ hamesha kī tarah hoñToñ meñ cigarette ko dabā.e
sone se pahle ḳhayālāt meñ khoyā huā huuñ
din meñ kyā kuchh kiyā ik jā.eza letā hai zamīr
ek saada sā varaq nāma-e-āmāl hai sab
kuchh nahīñ likkhā ba-juz is ke pise jaao yūñhī
kuchh nahīñ likhā bas ik itnā ki insāñ kā nasīb
giilī gūñdhī huī miTTī kā hai ik toda sā
din meñ sau shakleñ banā kartī haiñ is miTTī se
kuchh nahīñ likhā bas ik itnā ki chyūñTī dil hai
jauq-dar-jauq jo insān nazar aate haiñ
daana le kar kisī dīvār pe chaḌhnā girnā
aur phir chaḌhnā chaḌhe jaanā yūñhī shaam o sahar
kuchh nahīñ likkhā bas itnā ki pise jaao yūñhī
aur andoh ta.assuf ḳhushī ālām nashāt
ḳhud ko sau nāmoñ se bahlāte raho chalte raho
saañs ruk jaa.e jahāñ samjho vahīñ manzil hai
aur is dauḌ se thak jaao to cigarette pī lo
raat sannaTe ki chadar mein paDi hai lipTi
pattiyan saDkon ki sab jag rahi hain jaise
dekhna chahti hain shahr mein kya hota hai
main hamesha ki tarah honTon mein cigarette ko dabae
sone se pahle KHayalat mein khoya hua hun
din mein kya kuchh kiya ek jaeza leta hai zamir
ek sada sa waraq nama-e-amal hai sab
kuchh nahin likkha ba-juz is ke pise jao yunhi
kuchh nahin likha bas ek itna ki insan ka nasib
gili gundhi hui miTTi ka hai ek toda sa
din mein sau shaklen bana karti hain is miTTi se
kuchh nahin likha bas ek itna ki chyunTi dil hai
jauq-dar-jauq jo insan nazar aate hain
dana le kar kisi diwar pe chaDhna girna
aur phir chaDhna chaDhe jaana yunhi sham o sahar
kuchh nahin likkha bas itna ki pise jao yunhi
aur andoh tassuf KHushi aalam nashat
KHud ko sau namon se bahlate raho chalte raho
sans ruk jae jahan samjho wahin manzil hai
aur is dauD se thak jao to cigarette pi lo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.