zindagi
aaj añdherā mirī nas nas meñ utar jā.egā
āñkheñ bujh jā.eñgī bujh jā.eñge ehsās o shu.ūr
aur ye sadiyoñ se jaltā sā sulagtā sā vajūd
is se pahle ki sahar māthe pe shabnam chhiḌke
is se pahle ki mirī beTī ke vo phuul se haath
garm ruḳhsār ko ThanDak baḳhsheñ
is se pahle ki mire beTe kā mazbūt badan
tan-e-maflūj meñ shaktī bhar de
is se pahle ki mirī biivī ke hoñT
mere hoñToñ kī tapish pī jaa.eñ
raakh ho jā.egā jalte jalte
aur phir raakh bikhar jā.egī
zindagī kahne ko be-māya sahī
ġham kā sarmāya sahī
maiñ ne is ke liye kyā kyā na kiyā
kabhī āsānī se ik saañs bhī yamrāj ko apnā na diyā
aaj se pahle bahut pahle
isī āñgan meñ
dhūp-bhare dāman meñ
maiñ khaḌā thā mire talvoñ se dhuāñ uThtā thā
ek be-nām sā be-rañg sā ḳhauf
kachche ehsās pe chhāyā thā ki jal jā.ūñgā
maiñ pighal jā.ūñgā
aur pighal kar mirā kamzor sā ''maiñ''
qatra qatra mire māthe se Tapak jā.egā
ro rahā thā magar ashkoñ ke baġhair
chīḳhtā thā magar āvāz na thī
maut lahrātī thī sau shakloñ meñ
maiñ ne har shakl ko ghabrā ke ḳhudā maan liyā
kaaT ke rakh diye sandal ke pur-asrār daraḳht
aur patthar se nikālā sho.ala
aur raushan kiyā apne se baḌā ek alaav
jānvar zab.h kiye itne ki ḳhuuñ kī lahreñ
paañv se uTh ke kamar tak aa.iiñ
aur kamar se mire sar tak aa.iiñ
som-ras maiñ ne piyā
raat din raqs kiyā
nāchte nāchte talve mire ḳhuuñ dene lage
mire a.azā kī thakan
ban ga.ī kāñpte hoñToñ pe bhajan
haDDiyāñ merī chaTaḳhne lagīñ īñdhan kī tarah
mantar hoñToñ se Tapakne lage roġhan kī tarah
''agnī maatā mirī agnī maatā
sūkhī lakḌī ke ye bhārī kunde
jo tirī bheñT ko le aayā huuñ
un ko svīkār kar aur aise dhadhak
ki machalte sho.ale khīñch leñ josh meñ
sūraj kī sunahrī zulfeñ
aag meñ aag mile
jo amar kar de mujhe
aisā koī raag mile''
agnī maañ se bhī na jiine kī sanad jab paa.ī
zindagī ke na.e imkān ne lī añgḌā.ī
aur kānoñ meñ kahīñ duur se āvāz aa.ī
buddham sharaḌam gachhamī
dhammam sharaḌam gacchami
sangham sharaḌam gacchami
chaar abrū kā safāyā kar ke
be-sile vastr se Dhāñpā ye badan
poñchh ke patnī ke māthe se damaktī biñdiyā
sote bachchoñ ko binā pyaar kiye
chal paḌā haath meñ kashkol liye
chāhtā thā kahīñ bhikshā hī meñ jīvan mil jaa.e
jo kabhī band na ho dil ko vo dhaḌkan mil jaa.e
mujh ko bhikshā meñ magar zahr milā
hoñT tharrāne lage jaise kare koī gila
jhuk ke suulī se usī vaqt kisī ne ye kahā
tere ik gaal pe jis pal koī thappaḌ maare
dūsrā gaal bhī aage kar de
terī duniyā meñ bahut hinsā hai
us ke siine meñ ahinsā bhar de
ki ye jiine kā tarīqa bhī hai andāz bhī hai
terī āvāz bhī hai merī āvāz bhī hai
maiñ uThā jis ko ahinsā kā sabaq sikhlāne
mujh ko laTkā diyā suulī pe usī duniyā ne
aa rahā thā maiñ ka.ī kūchoñ se Thokar khā kar
ek āvāz ne rokā mujh ko
kisī mīnār se nīche aa kar
allāhu-akbar allāhu-akbar
huā dil ko ye gumāñ
ki ye pur-josh azaañ
maut se degī amaañ
phir to pahuñchā maiñ jahāñ
maiñ ne dohrā.ī kuchh aise ye azaañ
guuñj uThā saarā jahāñ
allāhu-akbar allāhu-akbar
isī āvāz meñ ik aur bhī gūñjā elaan
kullo-man-alaihā-fān
ik taraf Dhal gayā ḳhurshīd-e-jahāñ-tāb kā sar
huā fālij kā asar
phaT ga.ī nas koī shiryānoñ meñ ḳhuuñ jam sā gayā
ho gayā zaḳhmī dimāġh
aisā lagtā thā ki bujh jā.egā jaltā hai jo sadiyoñ se charāġh
aaj añdherā mirī nas nas meñ utar jā.egā
ye samundar jo baḌī der se tūfānī thā
aisā taḌpā ki mire kamre ke andar aayā
aate aate vo mire vāste amrit laayā
aur lahrā ke kahā
shiv ne ye bhejvāyā hai lo piyo aur
aaj shiv ilm hai amrit hai amal
ab vo āsāñ hai jo dushvār thā kal
raat jo maut kā paiġhām liye aa.ī thī
biivī bachchoñ ne mire
us ko khiḌkī se pare pheñk diyā
aur jo vo zahr kā ik jaam liye aa.ī thī
us ne vo ḳhud hī piyā
sub.h utrī jo samundar meñ nahāne ke liye
raat kī laash milī paanī meñ
aaj andhera meri nas nas mein utar jaega
aankhen bujh jaengi bujh jaenge ehsas o shuur
aur ye sadiyon se jalta sa sulagta sa wajud
is se pahle ki sahar mathe pe shabnam chhiDke
is se pahle ki meri beTi ke wo phul se hath
garm ruKHsar ko ThanDak baKHshen
is se pahle ki mere beTe ka mazbut badan
tan-e-mafluj mein shakti bhar de
is se pahle ki meri biwi ke honT
mere honTon ki tapish pi jaen
rakh ho jaega jalte jalte
aur phir rakh bikhar jaegi
zindagi kahne ko be-maya sahi
gham ka sarmaya sahi
main ne is ke liye kya kya na kiya
kabhi aasani se ek sans bhi yamraj ko apna na diya
aaj se pahle bahut pahle
isi aangan mein
dhup-bhare daman mein
main khaDa tha mere talwon se dhuan uThta tha
ek be-nam sa be-rang sa KHauf
kachche ehsas pe chhaya tha ki jal jaunga
main pighal jaunga
aur pighal kar mera kamzor sa main
qatra qatra mere mathe se Tapak jaega
ro raha tha magar ashkon ke baghair
chiKHta tha magar aawaz na thi
maut lahraati thi sau shaklon mein
main ne har shakl ko ghabra ke KHuda man liya
kaT ke rakh diye sandal ke pur-asrar daraKHt
aur patthar se nikala shoala
aur raushan kiya apne se baDa ek alaw
jaanwar zabh kiye itne ki KHun ki lahren
panw se uTh ke kamar tak aain
aur kamar se mere sar tak aain
som-ras main ne piya
raat din raqs kiya
nachte nachte talwe mere KHun dene lage
mere aaza ki thakan
ban gai kanpte honTon pe bhajan
haDDiyan meri chaTaKHne lagin indhan ki tarah
mantar honTon se Tapakne lage roghan ki tarah
agni mata meri agni mata
sukhi lakDi ke ye bhaari kunde
jo teri bhenT ko le aaya hun
un ko swikar kar aur aise dhadhak
ki machalte shoale khinch len josh mein
suraj ki sunahri zulfen
aag mein aag mile
jo amar kar de mujhe
aisa koi rag mile
agni man se bhi na jine ki sanad jab pai
zindagi ke nae imkan ne li angDai
aur kanon mein kahin dur se aawaz aai
buddham sharaDam gachhami
dhammam sharaDam gacchami
sangham sharaDam gacchami
chaar abru ka safaya kar ke
be-sile wastr se Dhanpa ye badan
ponchh ke patni ke mathe se damakti bindiya
sote bachchon ko bina pyar kiye
chal paDa hath mein kashkol liye
chahta tha kahin bhiksha hi mein jiwan mil jae
jo kabhi band na ho dil ko wo dhaDkan mil jae
mujh ko bhiksha mein magar zahr mila
honT tharrane lage jaise kare koi gila
jhuk ke suli se usi waqt kisi ne ye kaha
tere ek gal pe jis pal koi thappaD mare
dusra gal bhi aage kar de
teri duniya mein bahut hinsa hai
us ke sine mein ahinsa bhar de
ki ye jine ka tariqa bhi hai andaz bhi hai
teri aawaz bhi hai meri aawaz bhi hai
main uTha jis ko ahinsa ka sabaq sikhlane
mujh ko laTka diya suli pe usi duniya ne
aa raha tha main kai kuchon se Thokar kha kar
ek aawaz ne roka mujh ko
kisi minar se niche aa kar
allahu-akbar allahu-akbar
hua dil ko ye guman
ki ye pur-josh azan
maut se degi aman
phir to pahuncha main jahan
main ne dohrai kuchh aise ye azan
gunj uTha sara jahan
allahu-akbar allahu-akbar
isi aawaz mein ek aur bhi gunja elan
kullo-man-alaiha-fan
ek taraf Dhal gaya KHurshid-e-jahan-tab ka sar
hua falij ka asar
phaT gai nas koi shiryanon mein KHun jam sa gaya
ho gaya zaKHmi dimagh
aisa lagta tha ki bujh jaega jalta hai jo sadiyon se charagh
aaj andhera meri nas nas mein utar jaega
ye samundar jo baDi der se tufani tha
aisa taDpa ki mere kamre ke andar aaya
aate aate wo mere waste amrit laya
aur lahra ke kaha
shiw ne ye bhejwaya hai lo piyo aur
aaj shiw ilm hai amrit hai amal
ab wo aasan hai jo dushwar tha kal
raat jo maut ka paigham liye aai thi
biwi bachchon ne mere
us ko khiDki se pare phenk diya
aur jo wo zahr ka ek jam liye aai thi
us ne wo KHud hi piya
subh utri jo samundar mein nahane ke liye
raat ki lash mili pani mein
- Book : Azadi Ke Bad Urdu Nazam (Pg. 289)
- Author : Shamim Hanfi and Mazhar Mahdi
- Publication : qaumi council baraye-farogh urdu (2005)
- Edition : 2005
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.