zindagi ke dhaare
us kisān ko dekho
zindagī ke patthar se jism TūTtā huā
gaañv meñ
jis ke ghar udaas haiñ
hasratoñ aur āñsuoñ ke nam ke ġham nivās haiñ
jā rahā hai ustuḳhvān sar dard
ik jale bujhe ho.e zard zard gard gard raste par
us kā alam liye
jabr meñ bhī sabr aur sipās ke qadam liye
vaqt soyā soyā hai
ḳhvāb jaage jaage haiñ
bail aage aage haiñ
kis qadar ajiib chiiz zindagī ke dhāge haiñ
us kisan ko dekho
zindagi ke patthar se jism TuTta hua
ganw mein
jis ke ghar udas hain
hasraton aur aansuon ke nam ke gham niwas hain
ja raha hai ustuKHwan sar dard
ek jale bujhe hoe zard zard gard gard raste par
us ka alam liye
jabr mein bhi sabr aur sipas ke qadam liye
waqt soya soya hai
KHwab jage jage hain
bail aage aage hain
kis qadar ajib chiz zindagi ke dhage hain
- Book : Pakistani Adab (Pg. 166)
- Author : Dr. Rashid Amjad
- Publication : Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.