zindagi ke giton ke bol sunna
samā.at-e-munjamid ke mālik
samā.atoñ par jumūd ho to
dinoñ ko haftoñ meñ Dhālne kā nahīñ koī mashġhala
ba-juz ye ki vādiyoñ meñ sadā kī duurī pe bajne vaale
suhāne sapnoñ ke Dhol sunñā
rafū-gar-e-dāman-e-tamannā
har ek dhaḌkan pe dil meñ ik Tiis sī na uTThe
har ek harakat pe ābloñ meñ marī huī saañs jī na uTThe
kisī kī āvāz-e-pā se dam toḌtī huī zindagī na uTThe
koī pukāre koī na uTThe
to jhīl-āñkhoñ kañval se chehroñ ko bhūlne kā
koī tarīqa nahīñ
ba-juz ye ki sāhiloñ par purāne sīpoñ ke ḳhol chunñā
rafū-gar-e-dāman-e-tamannā
agar kabhī ābloñ kī sāñseñ bahāl hoñ to
lahū se rutoñ ke jaal bunñā
samā.at-e-munjamid ke mālik
samā.atoñ se jo barf sar ke
nadī ke gītoñ ke bol sunñā
samaat-e-munjamid ke malik
samaaton par jumud ho to
dinon ko hafton mein Dhaalne ka nahin koi mashghala
ba-juz ye ki wadiyon mein sada ki duri pe bajne wale
suhane sapnon ke Dhol sunna
rafu-gar-e-daman-e-tamanna
har ek dhaDkan pe dil mein ek Tis si na uTThe
har ek harakat pe aablon mein mari hui sans ji na uTThe
kisi ki aawaz-e-pa se dam toDti hui zindagi na uTThe
koi pukare koi na uTThe
to jhil-ankhon kanwal se chehron ko bhulne ka
koi tariqa nahin
ba-juz ye ki sahilon par purane sipon ke KHol chunna
rafu-gar-e-daman-e-tamanna
agar kabhi aablon ki sansen bahaal hon to
lahu se ruton ke jal bunna
samaat-e-munjamid ke malik
samaaton se jo barf sar ke
nadi ke giton ke bol sunna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.