zindagi
maiñ zindagī huuñ zindagī ye hai mirā nām-o-nishāñ
jumbish dah-e-barg-o-samar
sūrat-gar-e-shām-o-sahar
jān-o-dil-e-shams-o-qamar
saut-o-navā-e-bahr-o-bar
hai mujh se gardish meñ zamīñ mujh se hai daur-e-āsmāñ
maiñ zindagī huuñ zindagī ye hai mirā nām-o-nishāñ
in.aam ye mere liye
aish-o-tarab mere liye
haiñ roz-o-shab mere liye
haiñ ek sab mere liye
mazdūr kā ho ḳhash-kada yā ahl-e-daulat kā makāñ
maiñ zindagī huuñ zindagī ye hai mirā nām-o-nishāñ
mutrib kī āvāzoñ meñ huuñ
chiḌiyoñ kī parvāzoñ meñ huuñ
bajte hue sāzoñ meñ huuñ
shah-zor jaañ baazū meñ huuñ
uThte haiñ mere zor se tūfān hoñ yā āñdhiyāñ
maiñ zindagī huuñ zindagī ye hai mirā nām-o-nishāñ
himmat hai merī sifat-shikan
izzat hai merā bāñkpan
hai ājizī merā chalan
kyā ġham jo hai rāh-e-mehan
hai dast-e-qudrat meñ mire raḳhsh-e-taraqqī kī inaañ
maiñ zindagī huuñ zindagī ye hai mirā nām-o-nishāñ
aadam ke dil kā raaz huuñ
jibrīl kī parvāz huuñ
dā.ūd kī āvāz huuñ
maiñ nuuh kī dam-sāz huuñ
yūsuf ne merī chaah kī iisā kī huuñ rūh-e-ravāñ
maiñ zindagī huuñ zindagī ye hai mirā nām-o-nishāñ
mere qadam jab DaT ga.e
teġhoñ ke bādal chhaT ga.e
ḳhud sher pīchhe haT ga.e
ḳhatroñ ke halqe kaT ga.e
maiñ ne fanā ke rū-ba-rū hañs hañs ke liiñ añgḌā.iyāñ
maiñ zindagī huuñ zindagī ye hai mirā nām-o-nishāñ
main zindagi hun zindagi ye hai mera nam-o-nishan
jumbish dah-e-barg-o-samar
surat-gar-e-sham-o-sahar
jaan-o-dil-e-shams-o-qamar
saut-o-nawa-e-bahr-o-bar
hai mujh se gardish mein zamin mujh se hai daur-e-asman
main zindagi hun zindagi ye hai mera nam-o-nishan
inam ye mere liye
aish-o-tarab mere liye
hain roz-o-shab mere liye
hain ek sab mere liye
mazdur ka ho KHash-kada ya ahl-e-daulat ka makan
main zindagi hun zindagi ye hai mera nam-o-nishan
mutrib ki aawazon mein hun
chiDiyon ki parwazon mein hun
bajte hue sazon mein hun
shah-zor jaan bazu mein hun
uThte hain mere zor se tufan hon ya aandhiyan
main zindagi hun zindagi ye hai mera nam-o-nishan
himmat hai meri sifat-shikan
izzat hai mera bankpan
hai aajizi mera chalan
kya gham jo hai rah-e-mehan
hai dast-e-qudrat mein mere raKHsh-e-taraqqi ki inan
main zindagi hun zindagi ye hai mera nam-o-nishan
aadam ke dil ka raaz hun
jibril ki parwaz hun
daud ki aawaz hun
main nuh ki dam-saz hun
yusuf ne meri chah ki isa ki hun ruh-e-rawan
main zindagi hun zindagi ye hai mera nam-o-nishan
mere qadam jab DaT gae
teghon ke baadal chhaT gae
KHud sher pichhe haT gae
KHatron ke halqe kaT gae
main ne fana ke ru-ba-ru hans hans ke lin angDaiyan
main zindagi hun zindagi ye hai mera nam-o-nishan
- Book : Kulliyat-e-Mahshar Badayuni (Pg. 947)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.