zindagi maut ka aaina
jaisī zindagī ham guzārte haiñ vaisī maut hameñ miltī hai
ham buzdil aadmī kī zindagī guzārte haiñ
to hameñ maut bhī vaisī hī buzdil nasīb hotī hai
ham ḳhūbsūrat zindagī jiite haiñ
to maut bhī ḳhūbsūrat miltī hai
ham mohabbat kī zindagī guzārte haiñ
to maut bhī mahbūba kī tarah hameñ miltī hai
insān ne har shai ko gadlā kiyā hai
har qīmtī ādarsh ko mailā kiyā hai
har lafz ko be-ma.anī kiyā hai
allāh kī banā.ī huī chīzoñ ko masḳh karne kī koshish kī hai
lekin insān maut ko gadlā nahīñ kar sakā
mailā nahīñ kar sakā
be-ma.anī nahīñ kar sakā
masḳh nahīñ kar sakā
maut se zyāda ḳhālis shai duniyā meñ nahīñ hai
is se zyāda bā-ma.anī shai maujūd nahīñ hai
magar maiñ kyuuñ aisā kah rahā huuñ
mujhe to ek bahut hī ḳhūbsūrat zindagī basar karnī hai
mohabbat se labrez
raqs kartī huī zindagī
jis meñ raqqās ġhā.eb ho jaatā hai
aur sirf raqs baaqī rahtā hai
mujhe ek behad lazzat-bharī
rasīlī zindagī se gale milnā hai
taaki merī maut bhī ḳhūbsūrat ho
jaisi zindagi hum guzarte hain waisi maut hamein milti hai
hum buzdil aadmi ki zindagi guzarte hain
to hamein maut bhi waisi hi buzdil nasib hoti hai
hum KHubsurat zindagi jite hain
to maut bhi KHubsurat milti hai
hum mohabbat ki zindagi guzarte hain
to maut bhi mahbuba ki tarah hamein milti hai
insan ne har shai ko gadla kiya hai
har qimti aadarsh ko maila kiya hai
har lafz ko be-mani kiya hai
allah ki banai hui chizon ko masKH karne ki koshish ki hai
lekin insan maut ko gadla nahin kar saka
maila nahin kar saka
be-mani nahin kar saka
masKH nahin kar saka
maut se zyaada KHalis shai duniya mein nahin hai
is se zyaada ba-mani shai maujud nahin hai
magar main kyun aisa kah raha hun
mujhe to ek bahut hi KHubsurat zindagi basar karni hai
mohabbat se labrez
raqs karti hui zindagi
jis mein raqqas ghaeb ho jata hai
aur sirf raqs baqi rahta hai
mujhe ek behad lazzat-bhari
rasili zindagi se gale milna hai
taki meri maut bhi KHubsurat ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.