zindagi mein umang
chaTakte haiñ ġhunche
mahaktī hai chamelī
hai gulāb se husn-e-chaman
bulbul hai jān-e-chaman
kartī hai koyal kū kū
baiTh kar aam ke peḌ par
gir jaate haiñ zard patte
phūTtī hai na.ī koñpal
niim kā peḌ ho kar mast havā meñ
dohrātā hai maazī kī yādoñ ko
saaya aadhā aadhī dhuup
mere āñgan meñ parchhā.iyāñ gulāb kī
sehn-e-chaman meñ paḌtī haiñ
safed-o-surḳh phūloñ se ladī
sāvaniyāñ kī Dāliyāñ
uksātī haiñ zinda rahne ke liye
kyāriyāñ mere āñgan kī
khilte jin meñ phuul rañgā-rang
bhar dete haiñ zindagī meñ umang
chaTakte hain ghunche
mahakti hai chameli
hai gulab se husn-e-chaman
bulbul hai jaan-e-chaman
karti hai koyal ku ku
baiTh kar aam ke peD par
gir jate hain zard patte
phuTti hai nai konpal
nim ka peD ho kar mast hawa mein
dohraata hai mazi ki yaadon ko
saya aadha aadhi dhup
mere aangan mein parchhaiyan gulab ki
sehn-e-chaman mein paDti hain
safed-o-surKH phulon se ladi
sawaniyan ki Daliyan
uksati hain zinda rahne ke liye
kyariyan mere aangan ki
khilte jin mein phul ranga-rang
bhar dete hain zindagi mein umang
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.