zindagi
phūloñ kī sej bhī na.iiñ
aur sarāsar
ġham kā afsāna bhī na.iiñ
kuchh kaif hai
kuchh kaḌvāhaT bhī
kuchh dilchasp hai
kuchh uktāhaT bhī
kuchh ġham hai kuchh rāhat bhī
sab kuchh hai
magar sach hai ye bhī
is se baḌā koī
sarāb-ḳhāna bhī na.iiñ
maiñ ne tumheñ ḳhat likhā thā
milā hogā
tumhāre ḳhat to mujhe mil jaate haiñ
jo tum havāoñ ke haath bhejā karte ho
dil se dil kī
ḳhat-o-kitābat jaarī rahtī hai
go mujhe mālūm na.iiñ
is zamīñ pe
tum kahāñ ho
aur tum bhī bhulā.e baiThe ho
maiñ jahāñ huuñ
phulon ki sej bhi nain
aur sarasar
gham ka afsana bhi nain
kuchh kaif hai
kuchh kaDwahaT bhi
kuchh dilchasp hai
kuchh uktahaT bhi
kuchh gham hai kuchh rahat bhi
sab kuchh hai
magar sach hai ye bhi
is se baDa koi
sarab-KHana bhi nain
main ne tumhein KHat likha tha
mila hoga
tumhaare KHat to mujhe mil jate hain
jo tum hawaon ke hath bheja karte ho
dil se dil ki
KHat-o-kitabat jari rahti hai
go mujhe malum nain
is zamin pe
tum kahan ho
aur tum bhi bhulae baiThe ho
main jahan hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.