zindagi
sarguzasht-e-nauhagar hai zindagī
dāstān-e-ashk-e-tar hai zindagī
kyā uḌegī vādī-e-ummīd meñ
tā.ir-e-be-bāl-o-par hai zindagī
aañkh jhapkī ho gayā qissa tamām
aah kitnī muḳhtasar hai zindagī
pī ke bahke kyoñ na ehsās-e-vajūd
sāġhar-e-jādū-asar hai zindagī
ibtidā-e-zindagānī hai ajal
intihā-e-dard-e-sar hai zindagī
zindagī hai ranj-o-ġham kī dāstāñ
dard-e-dil soz-e-jigar hai zindagī
zeb-e-gulshan munhasir hai ḳhaar par
dard-e-dil par munhasir hai zindagī
jī rahā hai tū bhī ai 'manzar' magar
ek hī andāz par hai zindagī
sarguzasht-e-nauhagar hai zindagi
dastan-e-ashk-e-tar hai zindagi
kya uDegi wadi-e-ummid mein
tair-e-be-baal-o-par hai zindagi
aankh jhapki ho gaya qissa tamam
aah kitni muKHtasar hai zindagi
pi ke bahke kyon na ehsas-e-wajud
saghar-e-jadu-asar hai zindagi
ibtida-e-zindagani hai ajal
intiha-e-dard-e-sar hai zindagi
zindagi hai ranj-o-gham ki dastan
dard-e-dil soz-e-jigar hai zindagi
zeb-e-gulshan munhasir hai KHar par
dard-e-dil par munhasir hai zindagi
ji raha hai tu bhi ai 'manzar' magar
ek hi andaz par hai zindagi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.