zindagi
zarre zarre meñ davāñ rūh-o-ruvāñ paatā huuñ maiñ
zindagī ko ek bahr-e-be-karāñ paatā huuñ maiñ
ġhuncha ġhuncha nutq par āmāda aatā hai nazar
patte patte kī zabāñ ko naġhma-ḳhvāñ paatā huuñ maiñ
zinda hastī kī ḳhabar detī hai raftār-e-nafas
bū-e-gul ko zindagī kā tarjumāñ paatā huuñ maiñ
barq kī jumbish ho yā bād-e-sabā kā ho ḳhirām
zindagī kā har tamavvuj meñ nishāñ paatā huuñ maiñ
us se aage bhī haiñ rūheñ uḌtī phirtī be-shumār
tā.er-e-sidra kā jis jā āshiyāñ paatā huuñ maiñ
ho chukī hai hukmarāñ jis naḳhl par bād-e-ḳhizāñ
us kī rag rag meñ bahār-e-be-ḳhizāñ paatā huuñ maiñ
chār-sū rāh-e-safar par dauḌtī hai jab nazar
zindagī ko kārvāñ-dar-kārvāñ paatā huuñ maiñ
jaane vāloñ kī tabāhī ke nishānoñ meñ nihāñ
aane vaalī hastiyoñ kī bastiyāñ paatā huuñ maiñ
al-ġharaz samjhe ho jin ko maut kī barbādiyāñ
zindagī ke inqalāb an meñ nihāñ paatā huuñ maiñ
zarre zarre mein dawan ruh-o-ruwan pata hun main
zindagi ko ek bahr-e-be-karan pata hun main
ghuncha ghuncha nutq par aamada aata hai nazar
patte patte ki zaban ko naghma-KHwan pata hun main
zinda hasti ki KHabar deti hai raftar-e-nafas
bu-e-gul ko zindagi ka tarjuman pata hun main
barq ki jumbish ho ya baad-e-saba ka ho KHiram
zindagi ka har tamawwuj mein nishan pata hun main
us se aage bhi hain ruhen uDti phirti be-shumar
taer-e-sidra ka jis ja aashiyan pata hun main
ho chuki hai hukmaran jis naKHl par baad-e-KHizan
us ki rag rag mein bahaar-e-be-KHizan pata hun main
chaar-su rah-e-safar par dauDti hai jab nazar
zindagi ko karwan-dar-karwan pata hun main
jaane walon ki tabahi ke nishanon mein nihan
aane wali hastiyon ki bastiyan pata hun main
al-gharaz samjhe ho jin ko maut ki barbaadiyan
zindagi ke inqalab an mein nihan pata hun main
- Book : Jadeed Shora.e Urdu (Pg. 146)
- Author : Dr. Abdul Vaheed
- Publication : Firoz sons Printers Publishers Book sales
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.