Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

zindagi

MORE BYSaeed Ahmad Akhtar

    zindagī is tarah guzartī hai

    jis tarah june ke mahīne meñ

    koī būḌhā ġharīb pardesī

    laakh armāñ dabā.e siine meñ

    bojh se chuur aur thakan se niDhāl

    hāñptā-kāñptā pasīne meñ

    ūñche mahloñ tale guzartā ho

    aur har-gām aah bhartā ho

    zindagi is tarah guzarti hai

    jis tarah june ke mahine mein

    koi buDha gharib pardesi

    lakh arman dabae sine mein

    bojh se chur aur thakan se niDhaal

    hanpta-kanpta pasine mein

    unche mahlon tale guzarta ho

    aur har-gam aah bharta ho

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now