zindagi
zindagī
is baar terī haar tai hai
maiñ
tujhe is kāñpte siine ke andar
ghūñT dūñgā
is tarah
ki to kahīñ ma.adūm ho jā.egī yaksar
zindagī
tujh se
tirā raḳht-e-tanaffus chhīn lūñgā
aur tere thartharāte jism ko
maiñ bhī hiqārat se takūñgā
ai mujhe ma.alūm haiñ
sab makr tere
ye tigāpū-e-rah-e-adam
ye fareb-e-hāv-hū
le tirī ra.anā.iyoñ par
kar rahā huuñ āḳh-thū
zindagi
is bar teri haar tai hai
main
tujhe is kanpte sine ke andar
ghunT dunga
is tarah
ki to kahin madum ho jaegi yaksar
zindagi
tujh se
tera raKHt-e-tanaffus chhin lunga
aur tere thartharaate jism ko
main bhi hiqarat se takunga
ai mujhe malum hain
sab makr tere
ye tigapu-e-rah-e-adam
ye fareb-e-haw-hu
le teri ranaiyon par
kar raha hun aaKH-thu
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.