ziya
ruḳhsār-o-lab kaukab-sifat
itne ki yādoñ ke liye mumkin nahīñ tajdīd bhī
ḳhurshīd bhī nāhīd bhī
is par vo jazb-e-be-karāñ sañgīñ hisāroñ kā adū
vo māh-rū
aise gurezāñ jaise sāhil se palaTtī mauj
āmezish kahāñ
kitnā ziyā'-e-jism-o-jāñ
jis meñ na thī mauj-e-sabā mauj-e-ziyā
aisā ziyā'-e-nāravā
ab dīda-e-hairāñ mirā
ā.īna saañ sākit misāl-e-shām-e-yazdāñ mahv-e-taḳh’īl-o-gumāñ
kitne sitāre hosh ke
pahnā-e-sub.h-e-husn meñ kho.e ga.e
āshuftagī sahrā-o-dariyā kī tarah
sahbā-e-ġhaltāñ kī tarah
husn ek shāḳh-e-be-samar
mizrāb-e-jāñ soz-e-fuġhāñ
jaise shabistān-e-shab-e-mahtāb par be-sūd mañDlā.ī havā
ḳhvāb-e-numū nāpaid-tar
vo be-ḳhabar ruḳhsār-o-lab
is shauq ke kitne shabistāñ ḳhvāb se aarī hue
be-mehr chehroñ kī ka.ī shāmeñ nazar ke sāmne
jaise matā.a-e-narm dast-e-be-hunar ke sāmne
ruKHsar-o-lab kaukab-sifat
itne ki yaadon ke liye mumkin nahin tajdid bhi
KHurshid bhi nahid bhi
is par wo jazb-e-be-karan sangin hisaron ka adu
wo mah-ru
aise gurezan jaise sahil se palaTti mauj
aamezish kahan
kitna ziya'-e-jism-o-jaan
jis mein na thi mauj-e-saba mauj-e-ziya
aisa ziya'-e-narawa
ab dida-e-hairan mera
aaina san sakit misal-e-sham-e-yazdan mahw-e-taKH’il-o-guman
kitne sitare hosh ke
pahna-e-subh-e-husn mein khoe gae
aashuftagi sahra-o-dariya ki tarah
sahba-e-ghaltan ki tarah
husn ek shaKH-e-be-samar
mizrab-e-jaan soz-e-fughan
jaise shabistan-e-shab-e-mahtab par be-sud manDlai hawa
KHwab-e-numu napaid-tar
wo be-KHabar ruKHsar-o-lab
is shauq ke kitne shabistan KHwab se aari hue
be-mehr chehron ki kai shamen nazar ke samne
jaise mataa-e-narm dast-e-be-hunar ke samne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.