ziyan
ek anjān dard kā lamha
raaz kartā hai munkashif kaise
yūñhī pahroñ guzār dete haiñ
sochte haiñ ki aaj kar leñ shumār
dard apnā ziyāda hai ki ḳhushī
vaqt aage hī baḌhtā jaatā hai
aur kuchh haath bhī nahīñ aatā
aisā lagtā hai rā.egāñ hai sab
fat.h kī sarḳhushī shikast kā ġham
yūñhī hastī kā ye ziyāñ hai sab
ek anjaan dard ka lamha
raaz karta hai munkashif kaise
yunhi pahron guzar dete hain
sochte hain ki aaj kar len shumar
dard apna ziyaada hai ki KHushi
waqt aage hi baDhta jata hai
aur kuchh hath bhi nahin aata
aisa lagta hai raegan hai sab
fath ki sarKHushi shikast ka gham
yunhi hasti ka ye ziyan hai sab
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.