zooming
dekhūñ jo āsmāñ se to itnī baḌī zamīñ
itnī baḌī zamīn pe chhoTā sā ek shahr
chhoTe se ek shahr meñ saḌkoñ kā ek jaal
saḌkoñ ke jaal meñ chhupī vīrān sī galī
vīrāñ galī ke moḌ pe tanhā sā ik shajar
tanhā shajar ke saa.e meñ chhoTā sā ik makān
chhoTe se ik makān meñ kachchī zamīñ kā sahn
kachchī zamīñ ke sahn meñ khiltā huā gulāb
khilte hue gulāb meñ mahkā huā badan
mahke hue badan meñ samundar sā ek dil
us dil kī vus.atoñ meñ kahīñ kho gayā huuñ maiñ
yuuñ hai ki is zamīñ se baḌā ho gayā huuñ maiñ
dekhun jo aasman se to itni baDi zamin
itni baDi zamin pe chhoTa sa ek shahr
chhoTe se ek shahr mein saDkon ka ek jal
saDkon ke jal mein chhupi viran si gali
viran gali ke moD pe tanha sa ek shajar
tanha shajar ke sae mein chhoTa sa ek makan
chhoTe se ek makan mein kachchi zamin ka sahn
kachchi zamin ke sahn mein khilta hua gulab
khilte hue gulab mein mahka hua badan
mahke hue badan mein samundar sa ek dil
us dil ki wusaton mein kahin kho gaya hun main
yun hai ki is zamin se baDa ho gaya hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.