zud-pashiman
gahrī bhūrī ā.ankhoñ vaalā ik shahzāda
duur des se
chamkīle mushkī ghoḌe par havā se bāteñ kartā
jigar jigar kartī talvār se jañgal kāTtā aayā
darvāzoñ se lipTī beleñ pare haTātā
jañgal kī bāñhoñ meñ jakḌe mahl ke haath chhuḌātā
jab andar aayā to dekhā
shahzādī ke jism kī saarī sūiyāñ zañg-ālūda thiiñ
rasta dekhne vaalī āñhkeñ
saare shikve bhulā chukī thīñ!
gahri bhuri aaankhon wala ek shahzada
dur des se
chamkile mushki ghoDe par hawa se baaten karta
jigar jigar karti talwar se jangal kaTta aaya
darwazon se lipTi belen pare haTata
jangal ki banhon mein jakDe mahl ke hath chhuData
jab andar aaya to dekha
shahzadi ke jism ki sari suiyan zang-aluda thin
rasta dekhne wali aanhken
sare shikwe bhula chuki thin!
- Book : kulliyaat-e-maahe tamaam(sadbarg) (Pg. 17)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.