ziyaada pas mat aana
ziyāda paas mat aanā
maiñ vo tah-ḳhāna huuñ jis meñ
shikasta ḳhvāhishoñ ke an-ginat aaseb baste haiñ
jo aadhī shab to rote haiñ phir aadhī raat hañste haiñ
mirī tārīkiyoñ meñ
gum-shuda sadiyoñ ke gard-ālūd nā-āsūda ḳhvāboñ ke
ka.ī ifrīt baste haiñ
mirī ḳhushiyoñ pe rote haiñ mire ashkoñ pe hañste haiñ
mire vīrān dil meñ reñgtī haiñ makaḌiyāñ ġham kī
tamannāoñ ke kaale naag shab-bhar sarsarāte haiñ
gunāhoñ ke jane bichchhū
damoñ par apne apne Dañk laade
apne apne zahr ke sho.aloñ meñ jalte haiñ
ye bichchhū dukh nigalte aur pachhtāve ugalte haiñ
ziyāda paas mat aanā
maiñ vo tah-ḳhāna huuñ jis meñ
koī rauzan koī khiḌkī nahīñ baaqī
faqat qabreñ hī qabreñ haiñ
kahīñ aisā na ho tum bhī inhī qabroñ meñ kho jaao
inhī meñ dafan ho jaao
gulābī ho kahīñ aisā na ho tum zard ho jaao
mohabbat kī harārat kho ke bilkul sard ho jaao
sarāpā dard ho jaao
so mere sāda-o-māsūm mujh ko raas mat aanā
ziyāda paas mat aanā
ziyāda paas mat aanā
ziyaada pas mat aana
main wo tah-KHana hun jis mein
shikasta KHwahishon ke an-ginat aaseb baste hain
jo aadhi shab to rote hain phir aadhi raat hanste hain
meri tarikiyon mein
gum-shuda sadiyon ke gard-alud na-asuda KHwabon ke
kai ifrit baste hain
meri KHushiyon pe rote hain mere ashkon pe hanste hain
mere viran dil mein rengti hain makaDiyan gham ki
tamannaon ke kale nag shab-bhar sarsaraate hain
gunahon ke jane bichchhu
damon par apne apne Dank lade
apne apne zahr ke shoalon mein jalte hain
ye bichchhu dukh nigalte aur pachhtawe ugalte hain
ziyaada pas mat aana
main wo tah-KHana hun jis mein
koi rauzan koi khiDki nahin baqi
faqat qabren hi qabren hain
kahin aisa na ho tum bhi inhi qabron mein kho jao
inhi mein dafan ho jao
gulabi ho kahin aisa na ho tum zard ho jao
mohabbat ki hararat kho ke bilkul sard ho jao
sarapa dard ho jao
so mere sada-o-masum mujh ko ras mat aana
ziyaada pas mat aana
ziyaada pas mat aana
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.