Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baĔhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mom-batti

Aadil Aseer Dehlvi

mom-batti

Aadil Aseer Dehlvi

MORE BYAadil Aseer Dehlvi

    rātoƱ ko dukh sahtī huuƱ maiƱ

    din meƱ Ĕhāfil rahtī huuƱ maiƱ

    raushan mujh se Derā Derā

    dekh ke mujh ko bhāge aƱdherā

    mahfil meƱ jal jaatī huuƱ maiƱ

    shab bhar meƱ Dhal jaatī huuƱ maiƱ

    bhiig rahā hai dāman merā

    jalne lagā hai tan-man merā

    mujh se pataƱge Darte haiƱ

    phir bhī vo mujh par marte haiƱ

    paas vo mere jab aate haiƱ

    maut kā luqma ban jaate haiƱ

    'ādil' merā naam batāo

    ilm kÄ« sham.eƱ har sÅ« jalāo

    raaton ko dukh sahti hun main

    din mein ghafil rahti hun main

    raushan mujh se Dera Dera

    dekh ke mujh ko bhage andhera

    mahfil mein jal jati hun main

    shab bhar mein Dhal jati hun main

    bhig raha hai daman mera

    jalne laga hai tan-man mera

    mujh se patange Darte hain

    phir bhi wo mujh par marte hain

    pas wo mere jab aate hain

    maut ka luqma ban jate hain

    'adil' mera nam batao

    ilm ki shamen har su jalao

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now