aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Javaid Anwar's Photo'

Javaid Anwar

Canada

Javaid Anwar

Ghazal 13

Nazm 14

Sher-o-Shayari 10

suno ki ab ham gulāb deñge gulāb leñge

mohabbatoñ meñ koī ḳhasāra nahīñ chalegā

suno ki ab hum gulab denge gulab lenge

mohabbaton mein koi KHasara nahin chalega

jo din chaḌhā to hameñ niiñd zarūrat thī

sahar aas meñ ham log raat bhar jaage

jo din chaDha to hamein nind ki zarurat thi

sahar ki aas mein hum log raat bhar jage

nikal gulāb muTThī se aur ḳhushbū ban

maiñ bhāgtā huuñ tire pīchhe aur jugnū ban

nikal gulab ki muTThi se aur KHushbu ban

main bhagta hun tere pichhe aur tu jugnu ban

koī kahānī koī vāqi.a sunā to sahī

agar hañsā nahīñ saktā mujhe rulā to sahī

koi kahani koi waqia suna to sahi

agar hansa nahin sakta mujhe rula to sahi

be-tukī raushnī meñ parā.e andhere liye

ek manzar hai tere liye ek mere liye

be-tuki raushni mein parae andhere liye

ek manzar hai tere liye ek mere liye

BOOKS 15

Audios 5

ajab KHvaabo.n se meraa raabta rakkhaa gayaa

be-tukii raushnii me.n paraa.e a.ndhere liye

muhiib raat ke gunjaan paaniyo.n se nikal

Recitation

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

GET YOUR PASS
Speak Now