Manto's Quotes About The Politics and Political Leaders
Manto's writings never
go astray in a dreamy world, but are as real as flesh and blood, and take under its radar both the state and the statesmen. Over here find an array of Manto’s most grilling quotes about politics and politicians. They do touch a nerve, but offer plenty of food for thought!
Leader Jab Aansoo Bahaa Kar Logon Se Kahte Hain Ki Mazhab Khatre Mein Hai To Ismein Koi Haqeeqat Nahi Hoti. Mazhab Aisi Cheez Hi Nahi Ki Khatre Mein Pad Sake, Agar Kisi Baat Ka Khatra Hai To Woh Leaderon Ka Hai Jo Apna Ulloo Seedha Karne Ke Liye Mazhab Ko Khatre Mein Daalte Hain.

-
Tags : Politicianand 3 more
Pahle Mazhab Seenon Mein Hota Tha, Aaj-kal Topiyon Mein Hota Hai. Siyaasat Bhi Ab Topiyon Mein Chali Aayi Hai. Zindaabaad Topiyaan.

Hindustan Ko Un Leaderon Se Bachaao Jo Mulk Ki Fiza Bigaad Rahe Hain Aur Awaam Ko Gumraah Kar Rahe Hain.

Yeh Log Jinhein Urf-e-aam Mein Leader Kahaa Jaata Hai, Siyaasat Aur Mazhab Ko Langda, Loolda Aur Zakhmi Aadmi Tasawwur Karte Hain.
Yeh Log Jinhein Urf-e-aam Mein Leader Kahaa Jaata Hai, Siyaasat Aur Mazhab Ko Langda, Loolda Aur Zakhmi Aadmi Tasawwur Karte Hain.
-
Tags : Politicianand 3 more
Yaad Rakhiye Watan Ki Khidmat Shikam-ser Log Kabhi Nahi Kar Sakenge. Wazni Me'ade Ke Saath Jo Shakhsh Watan Ki Khidmat Ke Liye Aage Badhe, Use Laat Maar Kar Baahar Nikaal Dijiye.

Mujhe Naam-nihaad Communiston Se Badi Chid Hai. Woh Log Mujhe Bahut Khalte Hain Jo Narm-narm Sofon Par Baith Kar Daraanti Aur Hathaude Ki Zarbon Ki Baatein Karte Hain.

Siyaasat Aur Mazhab Ki Laash Hamaare Naam-war Leader Apne Kandhe Par Uthaae Phirte Hain Aur Seedhe-saade Logon Ko Jo Har Baat Maan Lene Ke Aadi Hote Hain Ye Kahte-phirte Hain Ki Woh Is Laash Ko Az Sar-e-nau Zindagi Bakhsh Rahe Hain.

Tags : Politicianand 2 more
Yeh Log Jo Apne Gharon Ka Nizaam Durust Nahi Kar Sakte, Yeh Log Jinka Character Be-had Past Hota Hai, Siyaasat Ke Maidan Mein Apne Watan Ka Nizaam Theek Karne Aur Logon Ko Akhlaaqiyaat Ka Sabaq Dene Ke Liye Nikalte Hain... Kis Qadar Mazhaka-khez Cheez Hai!

Main To Baaz-auqaat Aisa Mahsoos Karta Hoon Ki Hukoomat Aur Ri'aaya Ka Rishta Roothe Khaawand Aur Biwi Ka Rishta Hai.

Tags : Governmentand 1 more
Siyaasiyaat Se Mujhe Koi Dilchaspi Nahi. Leaderon Aur Dawa-faroshon Ko Main Eik Hi Zumre Mein Shumaar Karta Hun. Leaderi Aur Dawa-faroshi, Ye Dono Peshe Hain. Dawa-farosh Aur Leader Dono Doosron Ke Nuskhe Istemaal Karte Hain.