Ameer Imam
Ghazal 109
Nazm 10
Sher-o-Shayari 25
ye kār-e-zindagī thā to karnā paḌā mujhe
ḳhud ko sameTne meñ bikharnā paḌā mujhe
ye kar-e-zindagi tha to karna paDa mujhe
KHud ko sameTne mein bikharna paDa mujhe
-
Share this
- See Ghazal
dhuup meñ kaun kise yaad kiyā kartā hai
par tire shahr meñ barsāt to hotī hogī
dhup mein kaun kise yaad kiya karta hai
par tere shahr mein barsat to hoti hogi
-
Share this
- See Ghazal
jo shaam hotī hai har roz haar jaatā huuñ
maiñ apne jism kī parchhā.iyoñ se laḌte hue
jo sham hoti hai har roz haar jata hun
main apne jism ki parchhaiyon se laDte hue
-
Share this
- See Ghazal
vo mārka ki aaj bhī sar ho nahīñ sakā
maiñ thak ke muskurā diyā jab ro nahīñ sakā
wo marka ki aaj bhi sar ho nahin saka
main thak ke muskura diya jab ro nahin saka
-
Share this
- See Ghazal
Image Shayari 2
chalte chalte ye galii be-jaan hotii jaa.egii raat hotii jaa.egii sunsaan hotii jaa.egii dekhnaa kyaa hai nazar-andaaz karnaa hai kise manzaro.n kii KHud-ba-KHud pahchaan hotii jaa.egii us ke chehre par musalsal aa.nkh ruk saktii nahii.n aa.nkh baar-e-husn se halkaan hotii jaa.egii soch lo ye dil-lagii bhaarii na pa.D jaa.e kahii.n jaan jis ko kah rahe ho jaan hotii jaa.egii kar hii kyaa saktii hai duniyaa aur tujh ko dekh kar dekhtii jaa.egii aur hairaan hotii jaa.egii kaakul-e-KHamdaar me.n KHam aur aate jaa.e.nge zulf us kii aur bhii shaitaan hotii jaa.egii aate aate ishq karne kaa hunar aa jaa.egaa rafta-rafta zindagii aasaan hotii jaa.egii jaa chukii.n KHushiyaa.n to ab Gam hijrate.n karne lage dil kii bastii is tarah viiraan hotii jaa.egii