qadir-nama-e-ghaalib
Interesting Fact
Ghalib had seven children but unfortunately none of them lived for more than fifteen months and Ghalib died childless. Due to his loneliness and some other reasons, Ghalib had adopted Zainul Abidin Khan Arif who was his wife's nephew. But at the peak of his youth, at the age of thirty-five, Arif also died, and Ghalib wrote the Masnavi Qadir Namah for the young orphans of the late Arif. In fact, this Masnavi is a kind of dictionary in which Ghalib has given Hindi or Urdu synonyms of commonly used Persian and Arabic words so as to increase the vocabulary of the readers.
qādir aur allāh aur yazdāñ ḳhudā
hai nabī mursal payambar rahnumā
peshvā-e-dīñ ko kahte haiñ imaam
vo rasūlullāh kā qā.em-maqām
hai sahābī dost ḳhālis naab hai
jam.a us kī yaad rakh as.hāb hai
bandagī kā haañ ibādat naam hai
nek-baḳhtī kā sa.ādat naam hai
kholnā iftār hai aur roza saum
lail ya.anī raat din aur roz yaum
hai salāt ai mehrbāñ ism-e-namāz
jis ke paḌhne se ho raazī be-niyāz
jā-namāz aur phir musallā hai vahī
aur sajjāda bhī goyā hai vahī
ism vo hai jis ko tum kahte ho naam
ka.aba makka vo jo hai bait-ul-harām
gird phirne ko kaheñge ham tavāf
baiTh rahnā goshe meñ hai etakāf
phir falak charḳh aur gardūñ aur sip.har
āsmāñ ke naam haiñ ai rashk-e-mehr
mahr sūraj chāñd ko kahte haiñ maah
hai mohabbat mehr lāzim hai nibāh
ġharb pachchhim aur pūrab sharq hai
abr badlī aur bijlī barq hai
aag kā ātish aur aazar naam hai
aur añgāre kā aḳhgar naam hai
teġh kī hindī agar talvār hai
fārsī pagḌī kī bhī dastār hai
nevlā raasū hai aur tā.ūs mor
kabk ko hindī meñ kahte haiñ chakor
ḳhum hai maTkā aur Thiliyā hai subū
aab paanī bahr dariyā nahar jū
chaah ko kahte haiñ hindī meñ kuaañ
duud ko hindī meñ kahte haiñ dhuāñ
duudh jo piine kā hai vo shiir hai
tifl laḌkā aur būḌhā piir hai
siina chhātī dast haath aur pā paañv
shāḳh Tahnī barg pattā saaya chhāñv
maah chāñd aḳhtar haiñ taare raat shab
daañt dandāñ hoñT ko kahte haiñ lab
ustuḳhvāñ haDDī hai aur hai post khaal
sag hai kuttā aur gīdaḌ hai shaġhāl
til ko kunjad aur ruḳh kā gaal kah
gaal par jo til ho us ko ḳhaal kah
kekḌā sartān hai kachhvā sañg-pusht
saaq pinDlī fārsī muTThī kī musht
hai shikam peT aur baġhal āġhosh hai
kahnī ārnej aur kandhā dosh hai
hindī meñ aqrab kā bichchhū naam hai
fārsī meñ bhauñ kā abrū naam hai
hai vahī kazdam jise aqrab kaheñ
niish hai vo Dañk jis ko sab kaheñ
hai laḌā.ī harb aur jañg ek chiiz
ka.ab Taḳhnā aur shatālañg ek chiiz
naak biinī parra nathunā gosh kaan
kaan kī lau narma hai ai mehrbān
chashm hai aañkh aur mizhgāñ hai palak
aañkh kī putlī ko kahiye mardumak
muñh pe gar jhurrī paḌe āzañg jaan
fārsī chhīñke kī to āvañg jaan
massā āzaḳh aur chhālā aabla
aur hai daa.ī janā.ī qābla
uuñT ushtur aur ashġhar siyah hai
gosht hai lahm aur charbī piyā hai
hai zanaḳh ThoḌī zaqan bhī hai vahī
ḳhaad hai chiil aur zaġhan bhī hai vahī
phir ġhalīvāz us ko kahiye jo hai chiil
chyūñTī hai mor aur hāthī hai fiil
lomḌī rubāh aur aahū hiran
shams sūraj aur shuā us kī kiran
asp jab hindī meñ ghoḌā naam paa.e
tāziyāna kyoñ na kuuḌā naam paa.e
gurba billī muush chūhā daam jaal
rishta taagā jaama kapḌā qaht kaal
ḳhar gadhā aur is ko kahte haiñ ulāġh
degdāñ chūlhā jise kahiye ujāġh
hindī chiḌiyā fārsī gunjishk hai
meñgnī jis ko kaheñ vo pishk hai
taaba hai bhaa.ī tave kī fārsī
aur tiihū hai loī kī fārsī
naam makḌī kā qallāsh aur ankabūt
kahte haiñ machhlī ko maahī aur huut
pishsha machchhar aur makkhī hai magas
āshiyāna ghoñsla piñjra qafas
bheḌiyā gurg aur bakrī gospañd
mesh kā hai naam bheḌ ai ḳhud-pasand
naam gul kā phuul shabnam os hai
jis ko naqqārā kaheñ vo kuus hai
saqf chhat hai sañg patthar iiñT ḳhisht
jo burā hai us ko ham kahte haiñ zisht
ḳhaar kāñTā daaġh dhabba naġhma raag
siim chāñdī mas hai tāñbā baḳht bhaag
zar hai sonā aur zar-gar hai sunār
mauz kelā aur kakḌī hai ḳhayār
riish dāḌhī muuch sablat aur burūt
ahmaq aur nādān ko kahte haiñ uut
zindagānī hai hayāt aur marg maut
shave ḳhāvind aur hai añbāġh saut
jumla sab aur nisf aadhā rub.a paao
sarsar āñdhī cell naala baad baav
hai jarāhat aur zaḳhm aur ghaav riish
bhaiñs ko kahte haiñ bhaa.ī gaav mesh
haft saat aur hasht aaTh aur bast biis
sī agar kahiye to hindī us kī tiis
hai chahal chālīs aur panjāh pachās
nā-umīdī yaas aur ummīd aas
dosh kal kī raat aur imroz aaj
ird aaTā aur ġhalla hai anaaj
chāhiye hai maañ ko mādar jānñā
aur bhaa.ī ko barādar jānñā
phāoḌā bail aur darāñtī vaas hai
fārsī kaah aur hindī ghaas hai
sabz ho jab tak use kahiye gayāh
ḳhushk ho jaatī hai tab kahte haiñ kaah
chaksa puḌiyā kiise kā thailī hai naam
fārsī meñ dhappe kā sailī hai naam
aḳhalkandū jhunjunā nero hai zor
bādfar phirkī hai aur hai duzd chor
añgbīñ shahd aur asal ye ai aziiz
naam ko haiñ tiin par hai ek chiiz
aajil aur āroġh kī hindī Dakār
mai sharāb aur piine vaalā mai-gusār
ruuī ko kahte haiñ pamba sun rakho
aam ko kahte haiñ añba sun rakho
ḳhāna ghar hai aur koThā baam hai
qila dazh khaa.ī kā ḳhandaq naam hai
hai binaulā puñba-dāna lā-kalām
aur tarbuz-e-hind daana lā-kalām
gar darīcha fārsī khiḌkī kī hai
sarzanish bhī fārsī jhiḌkī kī hai
hai kahānī kī fasāna fārsī
aur sho.ale kī zabāna fārsī
na.al dar ātish usī kā naam hai
jo ki bechain aur be-ārām hai
past aur sattū ko kahte haiñ savīq
zharf aur gahre ko kahte haiñ amiiq
taar taanā paud baanā yaad rakh
āzmūdan āzmānā yaad rakh
yuusa machchhī chāhnā hai ḳhvāstan
kam hai andak aur ghaTānā kāstan
ḳhush raho hañsne ko ḳhandīdan kaho
gar Daro Darne ko tarsīdan kaho
hai harāsīdan bhī Darnā kyoñ Daro
aur jañgīdan hai laḌnā kyoñ laḌo
hai guzarne kī guzashtan fārsī
aur phirne kī hai gashtan fārsī
vo sarodan hai jise gaanā kaheñ
hai vo āvurdan jise laanā kaheñ
zīstan ko jān-e-man jiinā kaho
aur noshīdan ko tum piinā kaho
dauḌne kī fārsī hai tāḳhtan
khelne kī fārsī hai bāḳhtan
dūḳhtan siinā darīdan phāḌnā
kāshtan bonā hai raftan jhāḌnā
kāshtan bonā hai aur kashtan bhī hai
kātne kī fārsī rashtan bhī hai
hai Tapakne kī chakīdan fārsī
aur sunñe kī shunīdan fārsī
kūdnā jastan burīdan kāTnā
aur yasīdan kī hindī chāTnā
dekhnā dīdan ramīdan bhāgnā
jaan lo bedār būdan jāgnā
āmdan aanā banānā sāḳhtan
Dālne kī fārsī andāḳhtan
soḳhtan jalnā chamaknā tāftan
DhūñDhnā justan hai paanā yāftan
bāñdhnā bastan kushādan kholnā
dāshtan rakhnā hai saḳhtan tolnā
tolne ko aur sanjīdan kaho
phir ḳhafā hone ko ranjīdan kaho
fārsī sone ko ḳhuftan jāniye
muñh se kuchh kahne ko guftan jāniye
khīñchne kī hai kashīdan fārsī
aur ugne kī damīdan fārsī
ūñghnā pūchho ġhunūdan jaan lo
māñjhnā chāho zadūdan jaan lo
hai qalam kā fārsī meñ ḳhāma naam
hai ġhazal kā fārsī meñ chāma naam
kis ko kahte haiñ ġhazal irshād ho
haañ ġhazal paḌhiye sabaq gar yaad ho
sub.h se dekheñge rasta yaar kā
jum'e ke din va.ada hai dīdār kā
vo churāve baaġh meñ meva jise
phāñd jaanā yaad ho dīvār kā
pul hī par se pher laa.e ham ko log
varna thā apnā irāda paar kā
shahar meñ chhaḌiyoñ ke maile kī hai bhiiḌ
aaj aalam aur hai bāzār kā
laal Diggī par karegā jā ke kyā
pul pe chal hai aaj din itvār kā
gar na Dar jaao to dikhlā.ūñ tumheñ
kaaT apnī kaaTh kī talvār kā
vaah be laḌke paḌhī achchhī ġhazal
shauq abhī se hai tujhe ash.ār kā
to suno kal kā sabaq aa jaao tum
pozī afsār aur dumchī pārdum
chhalnī ko ġhirbāl parvīzan kaho
chhed ko tum raḳhna aur rauzan kaho
che ke ma.anī kyā chagoyam kyā kahūñ
man shuum ḳhāmosh maiñ chup ho rahūñ
baaz ḳhvāhm raft maiñ phir jā.ūñgā
naan ḳhvāham ḳhurd roTī khā.ūñgā
fārsī kyoñ kī chirā hai yaad rakh
aur ghanTālā darā hai yaad rakh
dasht sahrā aur jañgal ek hai
phir sah-shamba aur mañgal ek hai
jis ko nādāñ kahiye vo anjān hai
fārsī beñgan kī bāzinjān hai
jis ko kahte haiñ jamā.ī faaza hai
jo hai añgḌā.ī vahī ḳhamyāza hai
yārah kahte haiñ kaḌe ko ham se pūchh
paaḌ hai tālār ik aalam se pūchh
jis tarah gahne kī zevar fārsī
us tarah hañsulī kī pargar fārsī
bhiḌ kī bhaa.ī fārsī zambūr hai
dispanā unbar hai aur anbūr hai
fārsī ā.īna hindī aarsī
aur hai kan.ghe kī shāna fārsī
hiiñg angūza hai aur arzīr raañg
saaz baajā aur hai āvāz baañg
zauja jorū yazna bahnoī ko jaan
ḳhashm ġhusse aur bad-ḳhūī ko jaan
lohe ko kahte haiñ aahan aur hadīd
jo na.ī ho chiiz use kahiye jadīd
hai navā āvāz sāmāñ aur ol
narḳh qīmat aur bahā ye sab haiñ mol
siir lahsan torob muulī turah saag
khā baḳhūr barḳhez uTh ba-gurez bhaag
ruuī kī puunī kā hai pāġhunad naam
dok takle ko kaheñge lā-kalām
getī aur gīhāñ hai duniyā yaad rakh
aur hai naddāf dhuniyā yaad rakh
koh ko hindī meñ kahte haiñ pahāḌ
fārsī gulḳhan hai aur hindī hai bhaaḌ
takiya bālish aur bichhaunā bistara
asl bistar hai samajh lo tum zarā
bistara boleñ sipāhī aur faqīr
varna bistar kahte haiñ barnā-o-pīr
piir būḌhā aur barnā hai javāñ
jaan ko albatta kahte haiñ ruvāñ
iiñT ke gaare kā naam āzañd hai
hai nasīhat bhī vahī jo pand hai
pand ko andarz bhī kahte haiñ haañ
arz hai par marz bhī kahte haiñ haañ
kyā hai arz aur marz tum samjhe zamīñ
unuq gardan aur peshānī jabīñ
aas chukī āsiyā mash.hūr hai
aur faufal chhāliyā mash.hūr hai
bāñsulī nai aur jalājil jhāñjh hai
phir satarvan aur 'aqīma bāñjh hai
kuhl surma aur salā.ī miil hai
jis ko jholī kahiye vo zambīl hai
paayā qādir naame ne aaj iḳhtitām
ik ġhazal tum aur paḌh lo vassalām
sher ke paḌhne meñ kuchh hāsil nahīñ
māntā lekin hamārā dil nahīñ
ilm se hī qadar hai insān kī
hai vahī insān jo jāhil nahīñ
kyā kaheñ khaa.ī hai hāfiz jī kī maar
aaj hañste aap jo khil-khil nahīñ
kis tarah paḌhte ho ruk ruk kar sabaq
aise paḌhne kā to maiñ qaa.il nahīñ
jis ne qādir naama saarā paḌh liyā
us ko aamad naama kuchh mushkil nahīñ
qadir aur allah aur yazdan KHuda
hai nabi mursal payambar rahnuma
peshwa-e-din ko kahte hain imam
wo rasulullah ka qaem-maqam
hai sahabi dost KHalis nab hai
jama us ki yaad rakh ashab hai
bandagi ka han ibaadat nam hai
nek-baKHti ka saadat nam hai
kholna iftar hai aur roza saum
lail yani raat din aur roz yaum
hai salat ai mehrban ism-e-namaz
jis ke paDhne se ho raazi be-niyaz
ja-namaz aur phir musalla hai wahi
aur sajjada bhi goya hai wahi
ism wo hai jis ko tum kahte ho nam
kaba makka wo jo hai bait-ul-haram
gird phirne ko kahenge hum tawaf
baiTh rahna goshe mein hai etakaf
phir falak charKH aur gardun aur siphar
aasman ke nam hain ai rashk-e-mehr
mahr suraj chand ko kahte hain mah
hai mohabbat mehr lazim hai nibah
gharb pachchhim aur purab sharq hai
abr badli aur bijli barq hai
aag ka aatish aur aazar nam hai
aur angare ka aKHgar nam hai
tegh ki hindi agar talwar hai
farsi pagDi ki bhi dastar hai
newla rasu hai aur taus mor
kabk ko hindi mein kahte hain chakor
KHum hai maTka aur Thiliya hai subu
aab pani bahr dariya nahar ju
chah ko kahte hain hindi mein kuan
dud ko hindi mein kahte hain dhuan
dudh jo pine ka hai wo shir hai
tifl laDka aur buDha pir hai
sina chhati dast hath aur pa panw
shaKH Tahni barg patta saya chhanw
mah chand aKHtar hain tare raat shab
dant dandan honT ko kahte hain lab
ustuKHwan haDDi hai aur hai post khaal
sag hai kutta aur gidaD hai shaghaal
til ko kunjad aur ruKH ka gal kah
gal par jo til ho us ko KHal kah
kekDa sartan hai kachhwa sang-pusht
saq pinDli farsi muTThi ki musht
hai shikam peT aur baghal aaghosh hai
kahni aarnej aur kandha dosh hai
hindi mein aqrab ka bichchhu nam hai
farsi mein bhaun ka abru nam hai
hai wahi kazdam jise aqrab kahen
nish hai wo Dank jis ko sab kahen
hai laDai harb aur jang ek chiz
kab TaKHna aur shatalang ek chiz
nak bini parra nathuna gosh kan
kan ki lau narma hai ai mehrban
chashm hai aankh aur mizhgan hai palak
aankh ki putli ko kahiye mardumak
munh pe gar jhurri paDe aazang jaan
farsi chhinke ki to aawang jaan
massa aazaKH aur chhaala aabla
aur hai dai janai qabla
unT ushtur aur ashghar siyah hai
gosht hai lahm aur charbi piya hai
hai zanaKH ThoDi zaqan bhi hai wahi
KHad hai chil aur zaghan bhi hai wahi
phir ghaliwaz us ko kahiye jo hai chil
chyunTi hai mor aur hathi hai fil
lomDi rubah aur aahu hiran
shams suraj aur shua us ki kiran
asp jab hindi mein ghoDa nam pae
taziyana kyon na kuDa nam pae
gurba billi mush chuha dam jal
rishta taga jama kapDa qaht kal
KHar gadha aur is ko kahte hain ulagh
degdan chulha jise kahiye ujagh
hindi chiDiya farsi gunjishk hai
meingni jis ko kahen wo pishk hai
taba hai bhai tawe ki farsi
aur tihu hai loi ki farsi
nam makDi ka qallash aur ankabut
kahte hain machhli ko mahi aur hut
pishsha machchhar aur makkhi hai magas
aashiyana ghonsla pinjra qafas
bheDiya gurg aur bakri gospand
mesh ka hai nam bheD ai KHud-pasand
nam gul ka phul shabnam os hai
jis ko naqqara kahen wo kus hai
saqf chhat hai sang patthar inT KHisht
jo bura hai us ko hum kahte hain zisht
KHar kanTa dagh dhabba naghma rag
sim chandi mas hai tanba baKHt bhag
zar hai sona aur zar-gar hai sunar
mauz kela aur kakDi hai KHayar
rish daDhi much sablat aur burut
ahmaq aur nadan ko kahte hain ut
zindagani hai hayat aur marg maut
shawe KHawind aur hai anbagh saut
jumla sab aur nisf aadha ruba pao
sarsar aandhi cell nala baad baw
hai jarahat aur zaKHm aur ghaw rish
bhains ko kahte hain bhai gaw mesh
haft sat aur hasht aaTh aur bast bis
si agar kahiye to hindi us ki tis
hai chahal chaalis aur panjah pachas
na-umidi yas aur ummid aas
dosh kal ki raat aur imroz aaj
ird aaTa aur ghalla hai anaj
chahiye hai man ko madar jaanna
aur bhai ko baradar jaanna
phaoDa bail aur daranti was hai
farsi kah aur hindi ghas hai
sabz ho jab tak use kahiye gayah
KHushk ho jati hai tab kahte hain kah
chaksa puDiya kise ka thaili hai nam
farsi mein dhappe ka saili hai nam
aKHalkandu jhunjuna nero hai zor
baadfar phirki hai aur hai duzd chor
angbin shahd aur asal ye ai aziz
nam ko hain tin par hai ek chiz
aajil aur aarogh ki hindi Dakar
mai sharab aur pine wala mai-gusar
rui ko kahte hain pamba sun rakho
aam ko kahte hain anba sun rakho
KHana ghar hai aur koTha baam hai
qila dazh khai ka KHandaq nam hai
hai binaula punba-dana la-kalam
aur tarbuz-e-hind dana la-kalam
gar daricha farsi khiDki ki hai
sarzanish bhi farsi jhiDki ki hai
hai kahani ki fasana farsi
aur shoale ki zabana farsi
nal dar aatish usi ka nam hai
jo ki bechain aur be-aram hai
past aur sattu ko kahte hain sawiq
zharf aur gahre ko kahte hain amiq
tar tana paud bana yaad rakh
aazmudan aazmana yaad rakh
yusa machchhi chahna hai KHwastan
kam hai andak aur ghaTana kastan
KHush raho hansne ko KHandidan kaho
gar Daro Darne ko tarsidan kaho
hai harasidan bhi Darna kyon Daro
aur jangidan hai laDna kyon laDo
hai guzarne ki guzashtan farsi
aur phirne ki hai gashtan farsi
wo sarodan hai jise gana kahen
hai wo aawurdan jise lana kahen
zistan ko jaan-e-man jina kaho
aur noshidan ko tum pina kaho
dauDne ki farsi hai taKHtan
khelne ki farsi hai baKHtan
duKHtan sina daridan phaDna
kashtan bona hai raftan jhaDna
kashtan bona hai aur kashtan bhi hai
katne ki farsi rashtan bhi hai
hai Tapakne ki chakidan farsi
aur sunne ki shunidan farsi
kudna jastan buridan kaTna
aur yasidan ki hindi chaTna
dekhna didan ramidan bhagna
jaan lo bedar budan jagna
aamdan aana banana saKHtan
Dalne ki farsi andaKHtan
soKHtan jalna chamakna taftan
DhunDhna justan hai pana yaftan
bandhna bastan kushadan kholna
dashtan rakhna hai saKHtan tolna
tolne ko aur sanjidan kaho
phir KHafa hone ko ranjidan kaho
farsi sone ko KHuftan jaaniye
munh se kuchh kahne ko guftan jaaniye
khinchne ki hai kashidan farsi
aur ugne ki damidan farsi
unghna puchho ghunudan jaan lo
manjhna chaho zadudan jaan lo
hai qalam ka farsi mein KHama nam
hai ghazal ka farsi mein chama nam
kis ko kahte hain ghazal irshad ho
han ghazal paDhiye sabaq gar yaad ho
subh se dekhenge rasta yar ka
jum'e ke din wada hai didar ka
wo churawe bagh mein mewa jise
phand jaana yaad ho diwar ka
pul hi par se pher lae hum ko log
warna tha apna irada par ka
shahar mein chhaDiyon ke maile ki hai bhiD
aaj aalam aur hai bazar ka
lal Diggi par karega ja ke kya
pul pe chal hai aaj din itwar ka
gar na Dar jao to dikhlaun tumhein
kaT apni kaTh ki talwar ka
wah be laDke paDhi achchhi ghazal
shauq abhi se hai tujhe ashaar ka
to suno kal ka sabaq aa jao tum
pozi afsar aur dumchi pardum
chhalni ko ghirbaal parwizan kaho
chhed ko tum raKHna aur rauzan kaho
che ke mani kya chagoyam kya kahun
man shum KHamosh main chup ho rahun
baz KHwahm raft main phir jaunga
nan KHwaham KHurd roTi khaunga
farsi kyon ki chira hai yaad rakh
aur ghanTala dara hai yaad rakh
dasht sahra aur jangal ek hai
phir sah-shamba aur mangal ek hai
jis ko nadan kahiye wo anjaan hai
farsi bengan ki bazinjaan hai
jis ko kahte hain jamai faza hai
jo hai angDai wahi KHamyaza hai
yarah kahte hain kaDe ko hum se puchh
paD hai talar ek aalam se puchh
jis tarah gahne ki zewar farsi
us tarah hansuli ki pargar farsi
bhiD ki bhai farsi zambur hai
dispana unbar hai aur anbur hai
farsi aaina hindi aarsi
aur hai kanghe ki shana farsi
hing anguza hai aur arzir rang
saz baja aur hai aawaz bang
zauja joru yazna bahnoi ko jaan
KHashm ghusse aur bad-KHui ko jaan
lohe ko kahte hain aahan aur hadid
jo nai ho chiz use kahiye jadid
hai nawa aawaz saman aur ol
narKH qimat aur baha ye sab hain mol
sir lahsan torob muli turah sag
kha baKHur barKHez uTh ba-gurez bhag
rui ki puni ka hai paghunad nam
dok takle ko kahenge la-kalam
geti aur gihan hai duniya yaad rakh
aur hai naddaf dhuniya yaad rakh
koh ko hindi mein kahte hain pahaD
farsi gulKHan hai aur hindi hai bhaD
takiya baalish aur bichhauna bistara
asl bistar hai samajh lo tum zara
bistara bolen sipahi aur faqir
warna bistar kahte hain barna-o-pir
pir buDha aur barna hai jawan
jaan ko albatta kahte hain ruwan
inT ke gare ka nam aazand hai
hai nasihat bhi wahi jo pand hai
pand ko andarz bhi kahte hain han
arz hai par marz bhi kahte hain han
kya hai arz aur marz tum samjhe zamin
unuq gardan aur peshani jabin
aas chuki aasiya mashhur hai
aur faufal chhaaliya mashhur hai
bansuli nai aur jalajil jhanjh hai
phir satarwan aur 'aqima banjh hai
kuhl surma aur salai mil hai
jis ko jholi kahiye wo zambil hai
paya qadir name ne aaj iKHtitam
ek ghazal tum aur paDh lo wassalam
sher ke paDhne mein kuchh hasil nahin
manta lekin hamara dil nahin
ilm se hi qadar hai insan ki
hai wahi insan jo jahil nahin
kya kahen khai hai hafiz ji ki mar
aaj hanste aap jo khil-khil nahin
kis tarah paDhte ho ruk ruk kar sabaq
aise paDhne ka to main qail nahin
jis ne qadir nama sara paDh liya
us ko aamad nama kuchh mushkil nahin
- Book : Deewan-e-Ghalib (Pg. 460)
- Author : kalidas gupta raza
- Publication : Sakar Publishers Private Limited (1988)
- Edition : 1988
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.